wahshi the boo-e-gul ki tarah is jahaan mein ham | वहशी थे बू-ए-गुल की तरह इस जहाँ में हम

  - Haidar Ali Aatish

wahshi the boo-e-gul ki tarah is jahaan mein ham
nikle to phir ke aaye na apne makaan mein ham

saakin hain josh-e-ashk se aab-e-ravaan mein ham
rahte hain misl-e-mardum-e-aabi jahaan mein ham

shaida-e-roo-e-gul na to shaida-e-qadd-e-sarv
sayyaad ke shikaar hain is bostaan mein ham

nikli labon se aah ki gardoon nishaana tha
goya ki teer jode hue the kamaan mein ham

aalooda-e-gunah hai apna riyaaz bhi
shab kaatte hain jaag ke mugh ki dukaaan mein ham

himmat pas-az-fana sabab-e-zikr-e-khair hai
murdon ka naam sunte hain har dastaan mein ham

saaqi hai yaar-e-maah-liqa hai sharaab hai
ab baadshaah-e-waqt hain apne makaan mein ham

nairang-e-rozgaar se aiman hain shakl-e-sarv
rakhte hain ek haal bahaar-o-khizaan mein ham

duniya o aakhirat mein talabgaar hain tire
haasil tujhe samjhte hain dono jahaan mein ham

paida hua hai apne liye boriya-e-faqr
ye neestaan hai sher hain is neestaan mein ham

khwaahan koi nahin to kuchh is ka ojab nahin
jins-e-giraan-baha hain falak ki dukaaan mein ham

likkha hai kis ke khanjar-e-mizgaan ka us ne wasf
ik zakham dekhte hain qalam ki zabaan mein ham

kya haal hai kisi ne na poocha hazaar haif
naalaan rahe jars ki tarah kaarwaan mein ham

aaya hai yaar faatiha padhne ko qabr par
bedaar bakht-e-khufta hai khwaab-e-giraan mein ham

shaagird tarz-e-khanda-zani mein hai gul tira
ustaad-e-andaleeb hain soz-o-fughaan mein ham

baag-e-jahaan ko yaad karenge adam mein kya
kunj-e-qafas se tang rahe aashiyaan mein ham

allaah-re be-qaraari-e-dil hijr-e-yaar mein
gahe zameen mein the to gahe aasmaan mein ham

darwaaza band rakhte hain misl-e-hubaab-e-bahr
qufl-e-duroon-e-khaana hain apne makaan mein ham

aatish sukhun ki qadr zamaane se uth gai
maqdoor ho to qufl laga den zabaan mein ham

वहशी थे बू-ए-गुल की तरह इस जहाँ में हम
निकले तो फिर के आए न अपने मकाँ में हम

साकिन हैं जोश-ए-अश्क से आब-ए-रवाँ में हम
रहते हैं मिस्ल-ए-मर्दुम-ए-आबी जहाँ में हम

शैदा-ए-रू-ए-गुल न तो शैदा-ए-क़द्द-ए-सर्व
सय्याद के शिकार हैं इस बोस्ताँ में हम

निकली लबों से आह कि गर्दूं निशाना था
गोया कि तीर जोड़े हुए थे कमाँ में हम

आलूदा-ए-गुनाह है अपना रियाज़ भी
शब काटते हैं जाग के मुग़ की दुकाँ में हम

हिम्मत पस-अज़-फ़ना सबब-ए-ज़िक्र-ए-ख़ैर है
मुर्दों का नाम सुनते हैं हर दास्ताँ में हम

साक़ी है यार-ए-माह-लिक़ा है शराब है
अब बादशाह-ए-वक़्त हैं अपने मकाँ में हम

नैरंग-ए-रोज़गार से ऐमन हैं शक्ल-ए-सर्व
रखते हैं एक हाल बहार-ओ-ख़िज़ाँ में हम

दुनिया ओ आख़िरत में तलबगार हैं तिरे
हासिल तुझे समझते हैं दोनों जहाँ में हम

पैदा हुआ है अपने लिए बोरिया-ए-फ़क़्र
ये नीस्ताँ है शेर हैं इस नीस्ताँ में हम

ख़्वाहाँ कोई नहीं तो कुछ इस का ओजब नहीं
जिंस-ए-गिराँ-बहा हैं फ़लक की दुकाँ में हम

लिक्खा है किस के ख़ंजर-ए-मिज़्गाँ का उस ने वस्फ़
इक ज़ख़्म देखते हैं क़लम की ज़बाँ में हम

क्या हाल है किसी ने न पूछा हज़ार हैफ़
नालाँ रहे जरस की तरह कारवाँ में हम

आया है यार फ़ातिहा पढ़ने को क़ब्र पर
बेदार बख़्त-ए-ख़ुफ़्ता है ख़्वाब-ए-गिराँ में हम

शागिर्द तर्ज़-ए-ख़ंदा-ज़नी में है गुल तिरा
उस्ताद-ए-अंदलीब हैं सोज़-ओ-फ़ुग़ाँ में हम

बाग़-ए-जहाँ को याद करेंगे अदम में क्या
कुंज-ए-क़फ़स से तंग रहे आशियाँ में हम

अल्लाह-रे बे-क़रारी-ए-दिल हिज्र-ए-यार में
गाहे ज़मीं में थे तो गहे आसमाँ में हम

दरवाज़ा बंद रखते हैं मिस्ल-ए-हुबाब-ए-बहर
क़ुफ़्ल-ए-दुरून-ए-ख़ाना हैं अपने मकाँ में हम

'आतिश' सुख़न की क़द्र ज़माने से उठ गई
मक़्दूर हो तो क़ुफ़्ल लगा दें ज़बाँ में हम

  - Haidar Ali Aatish

Nasha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Nasha Shayari Shayari