hawa-e-daur-e-may-e-khush-gawaar raah mein hai | हवा-ए-दौर-ए-मय-ए-ख़ुश-गवार राह में है

  - Haidar Ali Aatish

hawa-e-daur-e-may-e-khush-gawaar raah mein hai
khizaan chaman se hai jaati bahaar raah mein hai

gada-nawaaz koi shehsawaar raah mein hai
buland aaj nihaayat ghubaar raah mein hai

adam ke kooch ki laazim hai fikr hasti mein
na koi shehar na koi dayaar raah mein hai

na badraqa hai na koi rafeeq saath apne
faqat inayat-e-parwardigaar raah mein hai

safar hai shart musaafir-nawaaz bahutere
hazaar-ha shajar-e-saaya-daar raah mein hai

maqaam tak bhi ham apne pahunch hi jaayenge
khuda to dost hai dushman hazaar raah mein hai

thaken jo paanv to chal sar ke bal na thehar aatish
gul-e-muraad hai manzil mein khaar raah mein hai

हवा-ए-दौर-ए-मय-ए-ख़ुश-गवार राह में है
ख़िज़ाँ चमन से है जाती बहार राह में है

गदा-नवाज़ कोई शहसवार राह में है
बुलंद आज निहायत ग़ुबार राह में है

अदम के कूच की लाज़िम है फ़िक्र हस्ती में
न कोई शहर न कोई दयार राह में है

न बदरक़ा है न कोई रफ़ीक़ साथ अपने
फ़क़त इनायत-ए-परवर-दिगार राह में है

सफ़र है शर्त मुसाफ़िर-नवाज़ बहुतेरे
हज़ार-हा शजर-ए-साया-दार राह में है

मक़ाम तक भी हम अपने पहुँच ही जाएँगे
ख़ुदा तो दोस्त है दुश्मन हज़ार राह में है

थकें जो पाँव तो चल सर के बल न ठहर 'आतिश'
गुल-ए-मुराद है मंज़िल में ख़ार राह में है

  - Haidar Ali Aatish

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari