ai sanam jis ne tujhe chaand si soorat di hai | ऐ सनम जिस ने तुझे चाँद सी सूरत दी है - Haidar Ali Aatish

ai sanam jis ne tujhe chaand si soorat di hai
usi allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai

teg be-aab hai ne baazu-e-qaatil kamzor
kuch giraa-jaani hai kuch maut ne furqat di hai

is qadar kis ke liye ye jang-o-jadal ai gardoon
na nishaan mujh ko diya hai na tu naubat di hai

saanp ke kaate ki lahren hain shab-o-roz aati
kaakul-e-yaar ke saude ne aziyyat di hai

aayi ikseer ghani dil nahin rakhti aisa
khaaksaari nahin di hai mujhe daulat di hai

sham'a ka apne fateela nahin kis raat jala
amal-e-hub ki bahut hum ne bhi daawat di hai

jism ko zer zameen bhi wahi pahuncha dega
rooh ko jis ne falak sair ki taqat di hai

furqat-e-yaar mein ro ro ke basar karta hoon
zindagaani mujhe kya di hai museebat di hai

yaadshab-e-mehboob faraamosh na hove ai dil
husn-e-niyyat ne mujhe ishq se nemat di hai

gosh paida kiye sunne ko tira zikr-e-jamaal
dekhne ko tire aankhon mein basaarat di hai

lutf-e-dil-bastagi-e-aashiq-e-shaida ko na pooch
do jahaan se is aseeri ne faraaghat di hai

kamar-e-yaar ke mazmoon ko baandho aatish
zulf-e-khoobaan si rasaa tum ko tabeeyat di hai

ऐ सनम जिस ने तुझे चाँद सी सूरत दी है
उसी अल्लाह ने मुझ को भी मोहब्बत दी है

तेग़ बे-आब है ने बाज़ु-ए-क़ातिल कमज़ोर
कुछ गिराँ-जानी है कुछ मौत ने फ़ुर्सत दी है

इस क़दर किस के लिए ये जंग-ओ-जदल ऐ गर्दूं
न निशाँ मुझ को दिया है न तू नौबत दी है

साँप के काटे की लहरें हैं शब-ओ-रोज़ आतीं
काकुल-ए-यार के सौदे ने अज़िय्यत दी है

आई इक्सीर ग़नी दिल नहीं रखती ऐसा
ख़ाकसारी नहीं दी है मुझे दौलत दी है

शम्अ का अपने फ़तीला नहीं किस रात जला
अमल-ए-हुब की बहुत हम ने भी दावत दी है

जिस्म को ज़ेर ज़मीं भी वही पहुँचा देगा
रूह को जिस ने फ़लक सैर की ताक़त दी है

फ़ुर्क़त-ए-यार में रो रो के बसर करता हूँ
ज़िंदगानी मुझे क्या दी है मुसीबत दी है

यादशब-ए-महबूब फ़रामोश न होवे ऐ दिल
हुस्न-ए-निय्यत ने मुझे इश्क़ से नेमत दी है

गोश पैदा किए सुनने को तिरा ज़िक्र-ए-जमाल
देखने को तिरे, आँखों में बसारत दी है

लुत्फ़-ए-दिल-बस्तगी-ए-आशिक़-ए-शैदा को न पूछ
दो जहाँ से इस असीरी ने फ़राग़त दी है

कमर-ए-यार के मज़मून को बाँधो 'आतिश'
ज़ुल्फ़-ए-ख़ूबाँ सी रसा तुम को तबीअत दी है

- Haidar Ali Aatish
0 Likes

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari