chaman mein rahne de kaun aashiyaan nahin ma'aloom | चमन में रहने दे कौन आशियाँ नहीं मा'लूम

  - Haidar Ali Aatish

chaman mein rahne de kaun aashiyaan nahin ma'aloom
nihaal kis ko kare baagbaan nahin ma'aloom

mere sanam ka kisi ko makaan nahin ma'aloom
khuda ka naam suna hai nishaan nahin ma'aloom

akheer ho gaye ghaflat mein din jawaani ke
bahaar-e-umr hui kab khizaan nahin ma'aloom

ye ishtiyaq-e-shahaadat mein mahav tha dam-e-qatl
lage hain zakham badan par kahaan nahin ma'aloom

suna jo zikr-e-ilaahi to us sanam ne kaha
ayaan ko jaante hain ham nihaan nahin ma'aloom

kiya hai kis ne tareeq-e-sulook se aagaah
mureed kis ka hai peer-e-mugaan nahin ma'aloom

meri tarah to nahin us ko ishq ka aazaar
ye zard rahti hai kyun zaafaraan nahin ma'aloom

jahaan o kaar-e-jahaan se hoon be-khabar main mast
zameen kidhar hai kahaan aasmaan nahin ma'aloom

supurd kis ke mere ba'ad ho amaanat-e-ishq
uthaaye kaun ye baar-e-giraan nahin ma'aloom

khamosh aisa hua hoon main kam-dimaaghi se
dehan mein hai ki nahin hai zabaan nahin ma'aloom

meri tumhaari mohabbat hai shohra-e-aafaq
kise haqeeqat-e-maah-o-kataan nahin ma'aloom

kis aaine mein nahin jalva-gar tiri timsaal
tujhe samjhte hain ham een-o-aan nahin ma'aloom

mila tha khizr ko kis tarah chashma-e-haivaan
hamein to yaar ka apne dahaan nahin ma'aloom

khuli hai khaana-e-sayyaad mein hamaari aankh
qafas ko jaante hain aashiyaan nahin ma'aloom

tareeq-e-ishq mein deewana-waar firta hoon
khabar gadhe ki nahin hai kuaan nahin ma'aloom

jo ho to shauq hi ho ku-e-yaar ka haadi
kisi ko warna sabeel-e-jinaan nahin ma'aloom

dehan mein aap ke albatta ham ko hujjat hai
kamar ka bhed jo poochoon miyaan nahin ma'aloom

naseem-e-subh ne kaisa ye us ko bhadkaaya
hanooz aatish-e-gul ka dhuaan nahin ma'aloom

sunenge waqia us ka zabaan-e-sausan se
shaheed kis ka hai ye arghwaan nahin ma'aloom

kinaar-e-aab chale daur-e-jaam ya lab-e-kisht
shikaar hove bat-e-may kahaan nahin ma'aloom

rasai jis ki nahin ai sanam dar-e-dil tak
yaqeen hai us ko tira aastaan nahin ma'aloom

ajab nahin hai jo ahl-e-sukhan hon gosha-nasheen
kisi dehan mein zabaan ka makaan nahin ma'aloom

chhutenge zeest ke fande se kis din ai aatish
janaaza hoga kab apna ravaan nahin ma'aloom

चमन में रहने दे कौन आशियाँ नहीं मा'लूम
निहाल किस को करे बाग़बाँ नहीं मा'लूम

मिरे सनम का किसी को मकाँ नहीं मा'लूम
ख़ुदा का नाम सुना है निशाँ नहीं मा'लूम

अख़ीर हो गए ग़फ़लत में दिन जवानी के
बहार-ए-उम्र हुई कब ख़िज़ाँ नहीं मा'लूम

ये इश्तियाक़-ए-शहादत में महव था दम-ए-क़त्ल
लगे हैं ज़ख़्म बदन पर कहाँ नहीं मा'लूम

सुना जो ज़िक्र-ए-इलाही तो उस सनम ने कहा
अयाँ को जानते हैं हम निहाँ नहीं मा'लूम

किया है किस ने तरीक़-ए-सुलूक से आगाह
मुरीद किस का है पीर-ए-मुग़ाँ नहीं मा'लूम

मिरी तरह तो नहीं उस को इश्क़ का आज़ार
ये ज़र्द रहती है क्यूँ ज़ाफ़राँ नहीं मा'लूम

जहान ओ कार-ए-जहाँ से हूँ बे-ख़बर मैं मस्त
ज़मीं किधर है कहाँ आसमाँ नहीं मा'लूम

सुपुर्द किस के मिरे बा'द हो अमानत-ए-इश्क़
उठाए कौन ये बार-ए-गिराँ नहीं मा'लूम

ख़मोश ऐसा हुआ हूँ मैं कम-दिमाग़ी से
दहन में है कि नहीं है ज़बाँ नहीं मा'लूम

मिरी तुम्हारी मोहब्बत है शोहरा-ए-आफ़ाक़
किसे हक़ीक़त-ए-माह-ओ-कताँ नहीं मा'लूम

किस आईने में नहीं जल्वा-गर तिरी तिमसाल
तुझे समझते हैं हम ईन-ओ-आँ नहीं मा'लूम

मिला था ख़िज़्र को किस तरह चश्मा-ए-हैवाँ
हमें तो यार का अपने दहाँ नहीं मा'लूम

खुली है ख़ाना-ए-सय्याद में हमारी आँख
क़फ़स को जानते हैं आशियाँ नहीं मा'लूम

तरीक़-ए-इश्क़ में दीवाना-वार फिरता हूँ
ख़बर गढ़े की नहीं है कुआँ नहीं मा'लूम

जो हो तो शौक़ ही हो कू-ए-यार का हादी
किसी को वर्ना सबील-ए-जिनाँ नहीं मा'लूम

दहन में आप के अलबत्ता हम को हुज्जत है
कमर का भेद जो पूछूँ मियाँ नहीं मा'लूम

नसीम-ए-सुब्ह ने कैसा ये उस को भड़काया
हनूज़ आतिश-ए-गुल का धुआँ नहीं मा'लूम

सुनेंगे वाक़िआ' उस का ज़बान-ए-सौसन से
शहीद किस का है ये अर्ग़वाँ नहीं मा'लूम

कनार-ए-आब चले दौर-ए-जाम या लब-ए-किश्त
शिकार होवे बत-ए-मय कहाँ नहीं मा'लूम

रसाई जिस की नहीं ऐ सनम दर-ए-दिल तक
यक़ीं है उस को तिरा आस्ताँ नहीं मा'लूम

अजब नहीं है जो अहल-ए-सुख़न हों गोशा-नशीं
किसी दहन में ज़बाँ का मकाँ नहीं मा'लूम

छुटेंगे ज़ीस्त के फंदे से किस दिन ऐ 'आतिश'
जनाज़ा होगा कब अपना रवाँ नहीं मा'लूम

  - Haidar Ali Aatish

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari