bala-e-jaan mujhe har ek khush-jamaal hua
chhuri jo tez hui pehle main halaal hua
girau hua to use chhootna muhaal hua
dil-e-ghareeb mera muflison ka maal hua
kami nahin tiri dargaah mein kisi shay ki
wahi mila hai jo muhtaaj ka sawaal hua
dikha ke chehra-e-raushan vo kahte hain sar-e-shaam
vo aftaab nahin hai jise zawaal hua
dukha na dil ko sanam ittihaad rakhta hoon
mujhe malaal hua to tujhe malaal hua
bujhaaya aankhon ne vo rukh talaash-e-mazmoon mein
khayaal-e-yaar mera sher ka khayal hua
tire shaheed ke jeb-e-kafan mein ai qaateel
gulaal se bhi hai rang-e-abeer laal hua
buland khaak-nasheeni ne qadr ki meri
urooj mujh ko hua jab ki paayemaal hua
gazab mein yaar ke shaan-e-karam nazar aayi
banaya sarv-e-charaaghaan jise nihaal hua
yaqeen hai dekhte sufi to dam nikal jaata
hamaare vajd ke aalam mein hai jo haal hua
vo na-tawan tha iraada kiya jo khaane ka
gham-e-firaq ke daanton mein main khilaal hua
kiya hai zaar ye teri kamar ke saude ne
pada jo aks mera aaine mein baal hua
dikhaani thi na tumhein chashm-e-surmageen apni
nigaah-e-naaz se vehshat-zada ghazaal hua
dahaan-e-yaar ke bose ki dil ne raghbat ki
khayaal-e-khaam kiya taalib-e-muhaal hua
raha bahaar-o-khizaan mein ye haal saude ka
badha to zulf hua ghat gaya to khaal hua
junoon mein aalam-e-tifli ki baadshaahat ki
khilauna aankhon mein apni har ik ghazaal hua
suna jameel bhi tera jo naam ai mehboob
hazaar jaan se dil banda-e-jamaal hua
likha hai aashiqon mein apne tu ne jis ka naam
phir us ka chehra nahin umr bhar bahaal hua
gunah kisi ne kiya thartharaaya dil apna
arq arq hue ham jis ko infiyaal hua
tire dahaan o kamar ka jo zikr aaya yaar
gumaan-o-wahm ko kya kya na ehtimaal hua
kamaal kaun sa hai vo jise zawaal nahin
hazaar shukr ki mujh ko na kuchh kamaal hua
tumhaari abroo-e-kaj ka tha dooj ka dhoka
siyaah hota agar eed ka hilaal hua
diya jo ranj tire ishq ne to raahat thi
firaq-e-talkh to sheerin mujhe visaal hua
wahi hai lauh-e-shikast-e-tilism-e-jism aatish
jab e'tidaal-e-anaasir mein ikhtilaal hua
बला-ए-जाँ मुझे हर एक ख़ुश-जमाल हुआ
छुरी जो तेज़ हुई पहले मैं हलाल हुआ
गिरौ हुआ तो उसे छूटना मुहाल हुआ
दिल-ए-ग़रीब मिरा मुफ़लिसों का माल हुआ
कमी नहीं तिरी दरगाह में किसी शय की
वही मिला है जो मुहताज का सवाल हुआ
दिखा के चेहरा-ए-रौशन वो कहते हैं सर-ए-शाम
वो आफ़्ताब नहीं है जिसे ज़वाल हुआ
दुखा न दिल को सनम इत्तिहाद रखता हूँ
मुझे मलाल हुआ तो तुझे मलाल हुआ
बुझाया आँखों ने वो रुख़ तलाश-ए-मज़मूँ में
ख़याल-ए-यार मिरा शेर का ख़याल हुआ
तिरे शहीद के जेब-ए-कफ़न में ऐ क़ातिल
गुलाल से भी है रंग-ए-अबीर लाल हुआ
बुलंद ख़ाक-नशीनी ने क़द्र की मेरी
उरूज मुझ को हुआ जब कि पाएमाल हुआ
ग़ज़ब में यार के शान-ए-करम नज़र आई
बनाया सर्व-ए-चराग़ाँ जिसे निहाल हुआ
यक़ीं है देखते सूफ़ी तो दम निकल जाता
हमारे वज्द के आलम में है जो हाल हुआ
वो ना-तवाँ था इरादा किया जो खाने का
ग़म-ए-फ़िराक़ के दाँतों में मैं ख़िलाल हुआ
किया है ज़ार ये तेरी कमर के सौदे ने
पड़ा जो अक्स मिरा आईने में बाल हुआ
दिखानी थी न तुम्हें चश्म-ए-सुर्मगीं अपनी
निगाह-ए-नाज़ से वहशत-ज़दा ग़ज़ाल हुआ
दहान-ए-यार के बोसे की दिल ने रग़बत की
ख़याल-ए-ख़ाम किया तालिब-ए-मुहाल हुआ
रहा बहार-ओ-ख़िज़ाँ में ये हाल सौदे का
बढ़ा तो ज़ुल्फ़ हुआ घट गया तो ख़ाल हुआ
जुनूँ में आलम-ए-तिफ़्ली की बादशाहत की
खिलौना आँखों में अपनी हर इक ग़ज़ाल हुआ
सुना जमील भी तेरा जो नाम ऐ महबूब
हज़ार जान से दिल बंदा-ए-जमाल हुआ
लिखा है आशिक़ों में अपने तू ने जिस का नाम
फिर उस का चेहरा नहीं उम्र भर बहाल हुआ
गुनह किसी ने किया थरथराया दिल अपना
अरक़ अरक़ हुए हम जिस को इंफ़िआल हुआ
तिरे दहान ओ कमर का जो ज़िक्र आया यार
गुमान-ओ-वहम को क्या क्या न एहतिमाल हुआ
कमाल कौन सा है वो जिसे ज़वाल नहीं
हज़ार शुक्र कि मुझ को न कुछ कमाल हुआ
तुम्हारी अबरू-ए-कज का था दूज का धोका
सियाह होता अगर ईद का हिलाल हुआ
दिया जो रंज तिरे इश्क़ ने तो राहत थी
फ़िराक़-ए-तल्ख़ तो शीरीं मुझे विसाल हुआ
वही है लौह-ए-शिकस्त-ए-तिलिस्म-ए-जिस्म 'आतिश'
जब ए'तिदाल-ए-अनासिर में इख़तिलाल हुआ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish
our suggestion based on Haidar Ali Aatish
As you were reading Nigaah Shayari Shayari