aaina seena-e-saahib-nazaraan hai ki jo tha | आइना सीना-ए-साहब-नज़राँ है कि जो था

  - Haidar Ali Aatish

aaina seena-e-saahib-nazaraan hai ki jo tha
chehra-e-shaahid-e-maqsood ayaan hai ki jo tha

ishq-e-gul mein wahi bulbul ka fugaan hai ki jo tha
partav-e-mah se wahi haal-e-kataan hai ki jo tha

aalam-e-husn khuda-daad-e-butaan hai ki jo tha
naaz-o-andaaz bala-e-dil-o-jaan hai ki jo tha

raah mein teri shab-o-roz basar karta hoon
wahi meel aur wahi sang-e-nishaan hai ki jo tha

roz karte hain shab-e-hijr ko bedaari mein
apni aankhon mein subuk khwaab-e-giraan hai ki jo tha

ek aalam mein ho har-chand maseeha mashhoor
naam-e-beemaar se tum ko khafqaan hai ki jo tha

daulat-e-ishq ka ganjeena wahi seena hai
daag-e-dil zakham-e-jigar mohr-o-nishaan hai ki jo tha

naaz-o-andaaz-o-ada se tumhein sharm aane lagi
aarzi husn ka aalam vo kahaan hai ki jo tha

jaan ki taskin ke liye haalat-e-dil kahte hain
be yaqeeni ka tiri ham ko gumaan hai ki jo tha

asr-e-manzil-e-maqsood nahin duniya mein
raah mein qaafila-e-reg-e-ravaan hai ki jo tha

dehan us roo-e-kitaabi mein hai par na-paida
ism-e-aazam wahi quraan mein nihaan hai ki jo tha

kaaba-e-madd-e-nazar qibla-numaa hai taa-haal
koo-e-jaanaan ki taraf dil nigaraan hai ki jo tha

koh-o-sehra-o-gulistaan mein fira karta hai
mutlaashi vo tira aab-e-ravaan hai ki jo tha

sozish-e-dil se tasalsul hai wahi aahon ka
ood ke jalne se mujmir mein dhuaan hai ki jo tha

raat kat jaati hai baatein wahi sunte sunte
sham-e-mahfil sanam-e-charb-zabaan hai ki jo tha

paa-e-kham maston ke hoo-haqq ka jo aalam hai so hai
sar-e-minbar wahi wa'iz ka bayaan hai ki jo tha

kaun se din nayi qabren nahin is mein banteen
ye kharaabaa wahi ibarat ka makaan hai ki jo tha

be-khabar shauq se mere nahin vo noor-e-nigaah
qaasid-e-ashk shab-o-roz wahan hai ki jo tha

lailatul-qadr kinaaya na shab-e-wasl se ho
us ka afsaana miyaan-e-ramzaan hai ki jo tha

deen-o-duniya ka talabgaar hanooz aatish hai
ye gada saail-e-naqd-e-do-jahaan hai ki jo tha

आइना सीना-ए-साहब-नज़राँ है कि जो था
चेहरा-ए-शाहिद-ए-मक़्सूद अयाँ है कि जो था

इश्क़-ए-गुल में वही बुलबुल का फ़ुग़ाँ है कि जो था
परतव-ए-मह से वही हाल-ए-कताँ है कि जो था

आलम-ए-हुस्न ख़ुदा-दाद-ए-बुताँ है कि जो था
नाज़-ओ-अंदाज़ बला-ए-दिल-ओ-जाँ है कि जो था

राह में तेरी शब-ओ-रोज़ बसर करता हूँ
वही मील और वही संग-ए-निशाँ है कि जो था

रोज़ करते हैं शब-ए-हिज्र को बेदारी में
अपनी आँखों में सुबुक ख़्वाब-ए-गिराँ है कि जो था

एक आलम में हो हर-चंद मसीहा मशहूर
नाम-ए-बीमार से तुम को ख़फ़क़ाँ है कि जो था

दौलत-ए-इश्क़ का गंजीना वही सीना है
दाग़-ए-दिल ज़ख़्म-ए-जिगर मोहर-ओ-निशाँ है कि जो था

नाज़-ओ-अंदाज़-ओ-अदा से तुम्हें शर्म आने लगी
आरज़ी हुस्न का आलम वो कहाँ है कि जो था

जाँ की तस्कीं के लिए हालत-ए-दिल कहते हैं
बे यक़ीनी का तिरी हम को गुमाँ है कि जो था

असर-ए-मंज़िल-ए-मक़्सूद नहीं दुनिया में
राह में क़ाफ़िला-ए-रेग-ए-रवाँ है कि जो था

दहन उस रू-ए-किताबी में है पर ना-पैदा
इस्म-ए-आज़म वही क़ुरआँ में निहाँ है कि जो था

काबा-ए-मद्द-ए-नज़र क़िबला-नुमा है ता-हाल
कू-ए-जानाँ की तरफ़ दिल निगराँ है कि जो था

कोह-ओ-सहरा-ओ-गुलिस्ताँ में फिरा करता है
मुतलाशी वो तिरा आब-ए-रवाँ है कि जो था

सोज़िश-ए-दिल से तसलसुल है वही आहों का
ऊद के जलने से मुजमिर में धुआँ है कि जो था

रात कट जाती है बातें वही सुनते सुनते
शम-ए-महफ़िल सनम-ए-चर्ब-ज़बाँ है कि जो था

पा-ए-ख़म मस्तों के हू-हक़ का जो आलम है सो है
सर-ए-मिंबर वही वाइ'ज़ का बयाँ है कि जो था

कौन से दिन नई क़ब्रें नहीं इस में बनतीं
ये ख़राबा वही इबरत का मकाँ है कि जो था

बे-ख़बर शौक़ से मेरे नहीं वो नूर-ए-निगाह
क़ासिद-ए-अश्क शब-ओ-रोज़ वहाँ है कि जो था

लैलतुल-क़द्र किनाया न शब-ए-वस्ल से हो
उस का अफ़्साना मियान-ए-रमज़ाँ है कि जो था

दीन-ओ-दुनिया का तलबगार हनूज़ 'आतिश' है
ये गदा साइल-ए-नक़्द-ए-दो-जहाँ है कि जो था

  - Haidar Ali Aatish

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari