peeri se mera nau digar-haal hua hai | पीरी से मिरा नौ दिगर-हाल हुआ है

  - Haidar Ali Aatish

peeri se mera nau digar-haal hua hai
vo qad jo alif sa tha so ab daal hua hai

maqbool mere qaul se qawwaal hua hai
sufi ko ghazal sun ke meri haal hua hai

un haathon ki daulat se kada maal hua hai
un paanv se aawaaza-e-khal-khaal hua hai

alminnat o lillaah b-sad-minnat udhar se
inkaar tha jis shay ka ab iqbaal hua hai

jab qatl kiya hai kisi aashiq ko to waan se
jallaad ki talwaar ko roomaal hua hai

kis uqde ko is zulf ki khola nahin ham ne
suljhaaya hai uljha hua jo baal hua hai

kis sar ko nahin yaar ki raftaar ka sauda
meraaj vo samjha hai jo paamaal hua hai

beemaar raha barson main eesa-nafson mein
poocha na kisi ne kabhi kya haal hua hai

ai abr-e-karam tu hi safed us ko karega
barson mein siyah naama-e-aamaal hua hai

jo naaz kare yaar saza-waar hai aatish
khush-roo o khush-usloob o khush-iqaal hua hai

पीरी से मिरा नौ दिगर-हाल हुआ है
वो क़द जो अलिफ़ सा था सो अब दाल हुआ है

मक़्बूल मिरे क़ौल से क़व्वाल हुआ है
सूफ़ी को ग़ज़ल सुन के मिरी हाल हुआ है

उन हाथों की दौलत से कड़ा माल हुआ है
उन पाँव से आवाज़ा-ए-ख़लख़ाल हुआ है

अलमिन्नत ओ लिल्लाह ब-सद-मिन्नत उधर से
इंकार था जिस शय का अब इक़बाल हुआ है

जब क़त्ल किया है किसी आशिक़ को तो वाँ से
जल्लाद की तलवार को रूमाल हुआ है

किस उक़्दे को इस ज़ुल्फ़ की खोला नहीं हम ने
सुलझाया है उलझा हुआ जो बाल हुआ है

किस सर को नहीं यार की रफ़्तार का सौदा
मेराज वो समझा है जो पामाल हुआ है

बीमार रहा बरसों मैं ईसा-नफ़सों में
पूछा न किसी ने कभी क्या हाल हुआ है

ऐ अब्र-ए-करम तू ही सफ़ेद उस को करेगा
बरसों में सियह नामा-ए-आमाल हुआ है

जो नाज़ करे यार सज़ा-वार है 'आतिश'
ख़ुश-रू ओ ख़ुश-उस्लूब ओ ख़ुश-इक़बाल हुआ है

  - Haidar Ali Aatish

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari