aashiq hoon main nafrat hai mere rang ko roo se
paivand nahin chaak garebaan ko rafu se
daaman mere qaateel ka na rangeen ho lahu se
har-chand ki nazdeek ho rag-ha-e-guloo se
gulzaar-e-jahaan par na padi aankh hamaari
kotaah thi umr apni habaab-e-lab-e-joo se
karta hai vo saffaaq khat-e-shauq ke purze
mehndi malee jaati hai kabootar ke lahu se
aashiq hoon magar karte hain maashooq khushamad
naazuk hai tabeeyat meri beemaar ki khoo se
आशिक़ हूँ मैं नफ़रत है मिरे रंग को रू से
पैवंद नहीं चाक गरेबाँ को रफ़ू से
दामन मिरे क़ातिल का न रंगीं हो लहू से
हर-चंद कि नज़दीक हो रग-हा-ए-गुलू से
गुलज़ार-ए-जहाँ पर न पड़ी आँख हमारी
कोताह थी उम्र अपनी हबाब-ए-लब-ए-जू से
करता है वो सफ़्फ़ाक ख़त-ए-शौक़ के पुर्ज़े
मेहंदी मली जाती है कबूतर के लहू से
आशिक़ हूँ मगर करते हैं माशूक़ ख़ुशामद
नाज़ुक है तबीअत मिरी बीमार की ख़ू से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish
our suggestion based on Haidar Ali Aatish
As you were reading Dushmani Shayari Shayari