mere dil ko shauq-e-fughaan nahin mere lab tak aati dua nahin
vo dehan hoon jis mein zabaan nahin vo jars hoon jis mein sada nahin
na tujhe dimaagh-e-nigaah hai na kisi ko taab-e-jamaal hai
unhen kis tarah se dikhaaun main vo jo kahte hain ki khuda nahin
kise neend aati hai ai sanam tire taq-e-abroo ki yaad mein
kabhi aashnaa-e-tah-e-baghal sar-e-murgh-e-qibla-numa nahin
ajab is ka kya na samaaun main jo khayal-e-dushman-o-dost hai
vo maqaam hoon ki guzar nahin vo makaan hoon ki pata nahin
ye khilaaf ho gaya aasmaan ye hawa zamaane ki phir gai
kahi gul khile bhi to boond se kahi husn hai to wafa nahin
marz-e-judai-e-yaar ne ye bigaad di hai hamaari khoo
ki muaafiq apne mizaaj ke nazar aati koi dava nahin
mujhe zaafaraan se zard-tar gham-e-hijr-e-yaar ne kar diya
nahin aisa koi zamaane mein mere haal par jo hansa nahin
mere aage us ko farogh ho ye majaal kya hai raqeeb ki
ye hujoom-e-jalwa-e-yaar hai ki charaagh-e-khaana ko ja nahin
chalen go ki saikron aandhiyaan jalen garche laakh ghar ai falak
bhadak utthe aatish'-e-toor phir koi is tarah ki dava nahin
मिरे दिल को शौक़-ए-फ़ुग़ाँ नहीं मिरे लब तक आती दुआ नहीं
वो दहन हूँ जिस में ज़बाँ नहीं वो जरस हूँ जिस में सदा नहीं
न तुझे दिमाग़-ए-निगाह है न किसी को ताब-ए-जमाल है
उन्हें किस तरह से दिखाऊँ मैं वो जो कहते हैं कि ख़ुदा नहीं
किसे नींद आती है ऐ सनम तिरे ताक़-ए-अबरू की याद में
कभी आश्ना-ए-तह-ए-बग़ल सर-ए-मुर्ग़-ए-क़िबला-नुमा नहीं
अजब इस का क्या न समाउँ मैं जो ख़याल-ए-दुश्मन-ओ-दोस्त है
वो मक़ाम हूँ कि गुज़र नहीं वो मकान हूँ कि पता नहीं
ये ख़िलाफ़ हो गया आसमाँ ये हवा ज़माने की फिर गई
कहीं गुल खिले भी तो बूँद से कहीं हुस्न है तो वफ़ा नहीं
मरज़-ए-जुदाई-ए-यार ने ये बिगाड़ दी है हमारी ख़ू
कि मुआफ़िक़ अपने मिज़ाज के नज़र आती कोई दवा नहीं
मुझे ज़ाफ़रान से ज़र्द-तर ग़म-ए-हिज्र-ए-यार ने कर दिया
नहीं ऐसा कोई ज़माने में मिरे हाल पर जो हँसा नहीं
मिरे आगे उस को फ़रोग़ हो ये मजाल क्या है रक़ीब की
ये हुजूम-ए-जल्वा-ए-यार है कि चराग़-ए-ख़ाना को जा नहीं
चलें गो कि सैकड़ों आँधियाँ जलें गरचे लाख घर ऐ फ़लक
भड़क उठ्ठे 'आतिश'-ए-तूर फिर कोई इस तरह की दवा नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish
our suggestion based on Haidar Ali Aatish
As you were reading Aankhein Shayari Shayari