aashna gosh se us gul ke sukhun hai kis ka
kuchh zabaan se kahe koi ye dehan hai kis ka
peshtar hashr se hoti hai qayamat barpa
jo chalan chalte hain khush-qad ye chalan hai kis ka
dast-e-qudrat ne banaya hai tujhe ai mehboob
aisa dhaala hua saanche mein badan hai kis ka
kis tarah tum se na maange tumheen insaaf karo
bosa lene ka saza-waar dehan hai kis ka
shaadi-e-marg se phoola main samaane ka nahin
gor kahte hain kise naam kafan hai kis ka
dehan-e-tang hai mauhoom yaqeen hai kis ko
kamar-e-yaar hai maadum ye zan hai kis ka
mufaside jo ki hon us chashm-e-siyah se kam hain
fitna-pardazi jise kahte hain fan hai kis ka
ek aalam ko tire ishq mein saka hoga
saaf aaina se shaffaaf badan hai kis ka
husn se dil to laga ishq ka beemaar to ho
phir ye unnaab-e-lab o seb-e-zakqan hai kis ka
gulshan-e-husn se behtar koi gulzaar nahin
sumbul is tarah ka pur-pech-o-shikan hai kis ka
baagh-e-aalam ka har ik gul hai khuda ki qudrat
baagbaan kaun hai is ka ye chaman hai kis ka
khaak mein us ko milaaun use barbaad karoon
jaan kis ki hai meri jaan ye tan hai kis ka
sarv sa qad hai nahin madd-e-nazar ka mere
gul sa rukh kis ka hai guncha sa dehan hai kis ka
kyun na be-saakhta bande hon dil-o-jaan se nisaar
qudrat allah ki be-saakhta-pan hai kis ka
aaj hi chhoote jo chhutta ye kharaabaa kal ho
ham ghareebon ko hai kya gham ye watan hai kis ka
yaar ko tum se mohabbat nahin ai aatish
khat mein alqaab ye phir mushfiq-e-man hai kis ka
आश्ना गोश से उस गुल के सुख़न है किस का
कुछ ज़बाँ से कहे कोई ये दहन है किस का
पेशतर हश्र से होती है क़यामत बरपा
जो चलन चलते हैं ख़ुश-क़द ये चलन है किस का
दस्त-ए-क़ुदरत ने बनाया है तुझे ऐ महबूब
ऐसा ढाला हुआ साँचे में बदन है किस का
किस तरह तुम से न माँगें तुम्हीं इंसाफ़ करो
बोसा लेने का सज़ा-वार दहन है किस का
शादी-ए-मर्ग से फूला मैं समाने का नहीं
गोर कहते हैं किसे नाम कफ़न है किस का
दहन-ए-तंग है मौहूम यक़ीं है किस को
कमर-ए-यार है मादूम ये ज़न है किस का
मुफ़सिदे जो कि हों उस चश्म-ए-सियह से कम हैं
फ़ित्ना-पर्दाज़ी जिसे कहते हैं फ़न है किस का
एक आलम को तिरे इश्क़ में सकता होगा
साफ़ आईना से शफ़्फ़ाफ़ बदन है किस का
हुस्न से दिल तो लगा इश्क़ का बीमार तो हो
फिर ये उन्नाब-ए-लब ओ सेब-ए-ज़क़न है किस का
गुलशन-ए-हुस्न से बेहतर कोई गुलज़ार नहीं
सुम्बुल इस तरह का पुर-पेच-ओ-शिकन है किस का
बाग़-ए-आलम का हर इक गुल है ख़ुदा की क़ुदरत
बाग़बाँ कौन है इस का ये चमन है किस का
ख़ाक में उस को मिलाऊँ उसे बर्बाद करूँ
जान किस की है मिरी जान ये तन है किस का
सर्व सा क़द है नहीं मद्द-ए-नज़र का मेरे
गुल सा रुख़ किस का है ग़ुंचा सा दहन है किस का
क्यूँ न बे-साख़्ता बंदे हों दिल-ओ-जाँ से निसार
क़ुदरत अल्लाह की बे-साख़्ता-पन है किस का
आज ही छूटे जो छुटता ये ख़राबा कल हो
हम ग़रीबों को है क्या ग़म ये वतन है किस का
यार को तुम से मोहब्बत नहीं ऐ 'आतिश'
ख़त में अलक़ाब ये फिर मुश्फ़िक़-ए-मन है किस का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish
our suggestion based on Haidar Ali Aatish
As you were reading Aitbaar Shayari Shayari