koocha-e-dilbar mein main bulbul chaman mein mast hai | कूचा-ए-दिलबर में मैं बुलबुल चमन में मस्त है

  - Haidar Ali Aatish

koocha-e-dilbar mein main bulbul chaman mein mast hai
har koi yaa apne apne pairhan mein mast hai

nashsha-e-daulat se munim pairhan mein mast hai
mard-e-muflis haalat-e-ranj-o-mehan mein mast hai

daur-e-gardoon hai khudaavanda ki ye daur-e-sharaab
dekhta hoon jis ko main us anjuman mein mast hai

aaj tak dekha nahin in aankhon ne roo-e-khumaar
kaun mujh sa gumbad-e-charkh-e-kuhan mein mast hai

gardish-e-chashm-e-ghazaalaan gardish-e-saaghar hai yaa
khush rahein ahl-e-watan deewana-pan mein mast hai

hai jo hairaan-e-safaaye-rukh halb mein aaina
boo-e-zulf-e-yaar se aahu khutan mein mast hai

ghaafil o hoshyaar hain us chashm-e-may-goon ke kharab
zinda zer-e-pairhan murda kafan mein mast hai

ek saaghar do jahaan ke gham ko karna hai galat
ai khusha-taale jo shaikh-o-barhaman mein mast hai

wahshat-e-majnoon-o-'aatish mein hai bas itna hi farq
koi ban mein mast hai koi watan mein mast hai

कूचा-ए-दिलबर में मैं बुलबुल चमन में मस्त है
हर कोई याँ अपने अपने पैरहन में मस्त है

नश्शा-ए-दौलत से मुनइम पैरहन में मस्त है
मर्द-ए-मुफ़्लिस हालत-ए-रंज-ओ-मेहन में मस्त है

दौर-ए-गर्दूं है ख़ुदावंदा कि ये दौर-ए-शराब
देखता हूँ जिस को मैं उस अंजुमन में मस्त है

आज तक देखा नहीं इन आँखों ने रू-ए-ख़ुमार
कौन मुझ सा गुम्बद-ए-चर्ख़-ए-कुहन में मस्त है

गर्दिश-ए-चश्म-ए-ग़ज़ालाँ गर्दिश-ए-साग़र है याँ
ख़ुश रहें अहल-ए-वतन दीवाना-पन में मस्त है

है जो हैरान-ए-सफाए-रुख़ हलब में आईना
बू-ए-ज़ुल्फ़-ए-यार से आहू ख़ुतन में मस्त है

ग़ाफ़िल ओ होश्यार हैं उस चश्म-ए-मय-गूँ के ख़राब
ज़िंदा ज़ेर-ए-पैरहन मुर्दा कफ़न में मस्त है

एक साग़र दो जहाँ के ग़म को करना है ग़लत
ऐ ख़ुशा-ताले जो शैख़-ओ-बरहमन में मस्त है

वहशत-ए-मजनूँ-ओ-'आतिश' में है बस इतना ही फ़र्क़
कोई बन में मस्त है कोई वतन में मस्त है

  - Haidar Ali Aatish

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari