dil-lagi apni tire zikr se kis raat na thi
subh tak shaam se ya-hoo ke siva baat na thi
iltijaa tujh se kab ai qibla-e-haajaat na thi
teri dargaah mein kis roz munaajat na thi
ab mulaqaat hui hai to mulaqaat rahe
na mulaqaat thi jab tak ki mulaqaat na thi
guncha-e-gul ko na hansna tha tiri soorat se
chhote se munh ki saza-waar badi baat na thi
ibtida se tujhe maujood samajhta tha main
mere tere kabhi parde ki mulaqaat na thi
ai naseem-e-sehri bahr-e-aseeraan-e-qafas
tohfa-tar nikhat-e-gul se koi sougaat na thi
un dinon ishq rulaata tha hamein soorat-e-abr
kaun si fasl thi vo jis mein ki barsaat na thi
kya kahoon us ke jo mujh par karam-e-pinhan the
zaahiri yaar se har-chand mulaqaat na thi
apne baandhe hoye gaati tujhe dekha fadka
dilruba shay thi meri jaan tiri gaat na thi
ik mein mil gaye ai shah-sawaar ahl-e-niyaaz
naaz-e-maashooq tha tu sun ki tire laat na thi
lab ke bose ka hai inkaar ta'ajjub ai yaar
phere sail se jo munh ko vo tiri zaat na thi
kamar-e-yaar thi az-bas-ki nihaayat naazuk
soojhti bandish-e-mazmoon ki koi ghaat na thi
un dinon hota tha tu ghar mein hamaare shab-baash
roz-e-raushan se kam ai mehr-e-liqa raat na thi
be-shuuroon ne na samjha to na samjha aatish
nukta-sanjon ko lateefa thi tiri baat na thi
दिल-लगी अपनी तिरे ज़िक्र से किस रात न थी
सुब्ह तक शाम से या-हू के सिवा बात न थी
इल्तिजा तुझ से कब ऐ क़िबला-ए-हाजात न थी
तेरी दरगाह में किस रोज़ मुनाजात न थी
अब मुलाक़ात हुई है तो मुलाक़ात रहे
न मुलाक़ात थी जब तक कि मुलाक़ात न थी
ग़ुंचा-ए-गुल को न हँसना था तिरी सूरत से
छोटे से मुँह की सज़ा-वार बड़ी बात न थी
इब्तिदा से तुझे मौजूद समझता था मैं
मिरे तेरे कभी पर्दे की मुलाक़ात न थी
ऐ नसीम-ए-सहरी बहर-ए-असीरान-ए-क़फ़स
तोहफ़ा-तर निकहत-ए-गुल से कोई सौग़ात न थी
उन दिनों इश्क़ रुलाता था हमें सूरत-ए-अब्र
कौन सी फ़स्ल थी वो जिस में कि बरसात न थी
क्या कहूँ उस के जो मुझ पर करम-ए-पिन्हाँ थे
ज़ाहिरी यार से हर-चंद मुलाक़ात न थी
अपने बाँधे होए गाती तुझे देखा फड़का
दिलरुबा शय थी मिरी जान तिरी गात न थी
इक में मिल गए ऐ शाह-सवार अहल-ए-नियाज़
नाज़-ए-माशूक़ था तू सुन की तिरे लात न थी
लब के बोसे का है इंकार तअज्जुब ऐ यार
फेरे साइल से जो मुँह को वो तिरी ज़ात न थी
कमर-ए-यार थी अज़-बस-कि निहायत नाज़ुक
सूझती बंदिश-ए-मज़मूँ की कोई घात न थी
उन दिनों होता था तू घर में हमारे शब-बाश
रोज़-ए-रौशन से कम ऐ मेहर-ए-लिक़ा रात न थी
बे-शुऊरों ने न समझा तो न समझा 'आतिश'
नुक्ता-संजों को लतीफ़ा थी तिरी बात न थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish
our suggestion based on Haidar Ali Aatish
As you were reading Bhai Shayari Shayari