tiri zulfon ne bal khaaya to hota | तिरी ज़ुल्फ़ों ने बल खाया तो होता

  - Haidar Ali Aatish

tiri zulfon ne bal khaaya to hota
zara sumbul ko lehraaya to hota

rukh-e-be-daagh dikhlaayaa to hota
gul-e-laala ko sharmaaya to hota

chalega kabk kya raftaar teri
ye andaaz-e-qadam paaya to hota

kahe jaate vo sunte ya na sunte
zabaan tak haal-e-dil aaya to hota

samajhta ya na ai aatish samajhta
dil-e-muztar ko samjhaaya to hota

तिरी ज़ुल्फ़ों ने बल खाया तो होता
ज़रा सुम्बुल को लहराया तो होता

रुख़-ए-बे-दाग़ दिखलाया तो होता
गुल-ए-लाला को शरमाया तो होता

चलेगा कब्क क्या रफ़्तार तेरी
ये अंदाज़-ए-क़दम पाया तो होता

कहे जाते वो सुनते या न सुनते
ज़बाँ तक हाल-ए-दिल आया तो होता

समझता या न ऐ 'आतिश' समझता
दिल-ए-मुज़्तर को समझाया तो होता

  - Haidar Ali Aatish

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari