tod kar taar-e-nigah ka silsila jaata raha | तोड़ कर तार-ए-निगह का सिलसिला जाता रहा

  - Haidar Ali Aatish

tod kar taar-e-nigah ka silsila jaata raha
khaak daal aankhon mein meri qaafila jaata raha

kaun se din haath mein aaya mere daaman-e-yaar
kab zameen-o-aasman ka fasla jaata raha

khaar-e-sehra par kisi ne tohmat-e-duzdi na ki
paanv ka majnoon ke kya kya aablaa jaata raha

doston se is qadar sadme uthaaye jaan par
dil se dushman ki adavat ka gila jaata raha

jab uthaya paanv aatish misl-e-aawaaz-e-jars
koson peeche chhod kar main qaafila jaata raha

तोड़ कर तार-ए-निगह का सिलसिला जाता रहा
ख़ाक डाल आँखों में मेरी क़ाफ़िला जाता रहा

कौन से दिन हाथ में आया मिरे दामान-ए-यार
कब ज़मीन-ओ-आसमाँ का फ़ासला जाता रहा

ख़ार-ए-सहरा पर किसी ने तोहमत-ए-दुज़दी न की
पाँव का मजनूँ के क्या क्या आबला जाता रहा

दोस्तों से इस क़दर सदमे उठाए जान पर
दिल से दुश्मन की अदावत का गिला जाता रहा

जब उठाया पाँव 'आतिश' मिस्ल-ए-आवाज़-ए-जरस
कोसों पीछे छोड़ कर मैं क़ाफ़िला जाता रहा

  - Haidar Ali Aatish

Revenge Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Revenge Shayari Shayari