shab-e-wasl thi chaandni ka samaan tha
baghal mein sanam tha khuda meherbaan tha
mubarak shab-e-qadr se bhi vo shab thi
sehar tak mah o mushtari ka qiraan tha
vo shab thi ki thi raushni jis mein din ki
zameen par se ik noor ta aasmaan tha
nikale the do chaand us ne muqaabil
vo shab subh-e-jannat ka jis par gumaan tha
uroosi ki shab ki halaavat thi haasil
farh-naak thi rooh dil shaadmaan tha
mushaahid jamaal-e-paree ki thi aankhen
makaan-e-visaal ik tilismi makaan tha
huzoori nigaahon ko deedaar se thi
khula tha vo parda ki jo darmiyaan tha
kiya tha use bosa-baazi ne paida
kamar ki tarah se jo ghaaeb dahaan tha
haqeeqat dikhaata tha ishq-e-majaazi
nihaan jis ko samjhe hue the ayaan tha
bayaan khwaab ki tarah jo kar raha hai
ye qissa hai jab ka ki aatish jawaan tha
शब-ए-वस्ल थी चाँदनी का समाँ था
बग़ल में सनम था ख़ुदा मेहरबाँ था
मुबारक शब-ए-क़द्र से भी वो शब थी
सहर तक मह ओ मुश्तरी का क़िराँ था
वो शब थी कि थी रौशनी जिस में दिन की
ज़मीं पर से इक नूर ता आसमाँ था
निकाले थे दो चाँद उस ने मुक़ाबिल
वो शब सुब्ह-ए-जन्नत का जिस पर गुमाँ था
उरूसी की शब की हलावत थी हासिल
फ़रह-नाक थी रूह दिल शादमाँ था
मुशाहिद जमाल-ए-परी की थी आँखें
मकान-ए-विसाल इक तिलिस्मी मकाँ था
हुज़ूरी निगाहों को दीदार से थी
खुला था वो पर्दा कि जो दरमियाँ था
किया था उसे बोसा-बाज़ी ने पैदा
कमर की तरह से जो ग़ाएब दहाँ था
हक़ीक़त दिखाता था इश्क़-ए-मजाज़ी
निहाँ जिस को समझे हुए थे अयाँ था
बयाँ ख़्वाब की तरह जो कर रहा है
ये क़िस्सा है जब का कि 'आतिश' जवाँ था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish
our suggestion based on Haidar Ali Aatish
As you were reading Naqab Shayari Shayari