payambar main nahin aashiq hoon jaani
rahe moosi hi se ye lan-taraani
sulaimaan ham hain ai mahboob-e-jaani
samjhte hain tujhe bilqees-e-saani
khula saude mein un zulfon ke mar kar
pareshaan khwaab thi ye zindagaani
ye kyun aata hai un se qad-kushi ko
gadi jaati hai sarv-e-bostaani
wahi dega kebab-e-nargisi bhi
jo deta hai sharaab-e-arghwaani
rangaa hai ishq ne kis dard-e-sar se
hamaara jaama-e-tan zaafraani
musaafir ki tarah rah khaana-bar-dosh
nahin jaae-e-iqaamat daar-e-faani
tire kooche ke mushtaakon ke aage
jahannam hai behisht-e-aasmaani
vo may-kash hoon diya hai qaabla ne
jise ghusl-e-sharaab-e-arghwaani
yaqeen hai deeda-e-baarik-been ko
kare aink talab ye naa-tawaani
vo khat hai yaadgaar-e-husn-e-rafta
vo sabza hai gulistaan ki nishaani
nikalti munh se qaasid ke nahin baat
magar laaya hai paighaam-e-zabaani
ye musht-e-khaak ho maqbool-e-dargaah
saba ki chahta hoon meherbaani
liye hain bosa-e-rukhsar-e-saaf
piya hai ham ne aaine ka paani
safedi moo ki ho kafoor har-chand
koi mitaa hai ye daagh-e-jawaani
na khush ho farbaahi-e-tan se ghaafil
subuk karti hai murde ko giraani
mue jo peshtar marne se vo log
kafan samjhe qaba-e-zindagaani
jalaati hai dil aatish toor ki tarah
kisi parda-nasheen ki lan-taraani
पयम्बर मैं नहीं आशिक़ हूँ जानी
रहे मूसी ही से ये लन-तरानी
सुलैमाँ हम हैं ऐ महबूब-ए-जानी
समझते हैं तुझे बिल्क़ीस-ए-सानी
खुला सौदे में उन ज़ुल्फ़ों के मर कर
परेशाँ ख़्वाब थी ये ज़िंदगानी
ये क्यूँ आता है उन से क़द-कुशी को
गड़ी जाती है सर्व-ए-बोस्तानी
वही देगा कबाब-ए-नर्गिसी भी
जो देता है शराब-ए-अर्ग़वानी
रंगा है इश्क़ ने किस दर्द-ए-सर से
हमारा जामा-ए-तन ज़ाफ़रानी
मुसाफ़िर की तरह रह ख़ाना-बर-दोश
नहीं जाए-ए-इक़ामत दार-ए-फ़ानी
तिरे कूचे के मुश्ताक़ों के आगे
जहन्नम है बहिश्त-ए-आसमानी
वो मय-कश हूँ दिया है क़ाबला ने
जिसे ग़ुस्ल-ए-शराब-ए-अर्ग़वानी
यक़ीं है दीदा-ए-बारीक-बीं को
करे ऐनक तलब ये ना-तवानी
वो ख़त है यादगार-ए-हुस्न-ए-रफ़्ता
वो सब्ज़ा है गुलिस्ताँ की निशानी
निकलती मुँह से क़ासिद के नहीं बात
मगर लाया है पैग़ाम-ए-ज़बानी
ये मुश्त-ए-ख़ाक हो मक़्बूल-ए-दरगाह
सबा की चाहता हूँ मेहरबानी
लिए हैं बोसा-ए-रुख़्सार-ए-साफ़
पिया है हम ने आईने का पानी
सफ़ेदी मू की हो काफ़ूर हर-चंद
कोई मिटता है ये दाग़-ए-जवानी
न ख़ुश हो फ़रबही-ए-तन से ग़ाफ़िल
सुबुक करती है मुर्दे को गिरानी
मुए जो पेशतर मरने से वो लोग
कफ़न समझे क़बा-ए-ज़िंदगानी
जलाती है दिल 'आतिश' तूर की तरह
किसी पर्दा-नशीं की लन-तरानी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish
our suggestion based on Haidar Ali Aatish
As you were reading Aadmi Shayari Shayari