dillagi ko dillagi se jeet jaane ka hunar
hamko aata hi nahin hai dil lagaane ka hunar
vo mahaj kuchh din rahega phir fana ho jayega
tu jise batla raha hai is zamaane ka hunar
zeest ko milta sukoon hai gungunaane se ise
kyun na hamko raas aaye geet gaane ka hunar
ho gaya khaamosh main bhi dekh lo aa kar sabhi
mar gaya alfaaz ko sheerin banaane ka hunar
saanp kutte bhediye sab feel hain bujhaakar yahan
doston se seekhie ab kaat khaane ka hunar
दिल्लगी को दिल्लगी से जीत जाने का हुनर
हमको आता ही नहीं है दिल लगाने का हुनर
वो महज़ कुछ दिन रहेगा फिर फ़ना हो जायेगा
तू जिसे बतला रहा है इस ज़माने का हुनर
ज़ीस्त को मिलता सुकूँ है गुनगुनाने से इसे
क्यों न हमको रास आए गीत गाने का हुनर
हो गया ख़ामोश मैं भी देख लो आ कर सभी
मर गया अल्फ़ाज़ को शीरीं बनाने का हुनर
साँप कुत्ते भेड़िए सब फ़ेल हैं सरवर यहाँ
दोस्तों से सीखिए अब काट खाने का हुनर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hameed Sarwar Bahraichi
our suggestion based on Hameed Sarwar Bahraichi
As you were reading Jeet Shayari Shayari