dil ke soone sahan mein goonji aahat kis ke paanv ki
dhoop-bhare sannaate mein awaaz sooni hai chaanv ki
ik manzar mein saare manzar pas-manzar ho jaane hain
ik dariya mein mil jaani hain lahren sab daryaon ki
dasht-navardi aur hijrat se apna gahra rishta hai
apni mitti mein shaamil hai mitti kuchh seharaaon ki
baarish ki boondon se ban mein tan mein ek bahaar aayi
ghar ghar gaaye geet gagan ne goonjein galiyaan gaav ki
subh savere nange paanv ghaas pe chalna aisa hai
jaise baap ka pehla bosa qurbat jaise maon ki
ik jaisa ehsaas lahu mein jeeta jaagta rehta hai
ek udaasi de jaati hai dastak roz hawaon ki
seenon aur zameenon ka ab manzar-naama badlega
har soo kasrat ho jaani hai phoolon aur duaon ki
दिल के सूने सहन में गूँजी आहट किस के पाँव की
धूप-भरे सन्नाटे में आवाज़ सुनी है छाँव की
इक मंज़र में सारे मंज़र पस-मंज़र हो जाने हैं
इक दरिया में मिल जानी हैं लहरें सब दरियाओं की
दश्त-नवर्दी और हिजरत से अपना गहरा रिश्ता है
अपनी मिट्टी में शामिल है मिट्टी कुछ सहराओं की
बारिश की बूँदों से बन में तन में एक बहार आई
घर घर गाए गीत गगन ने गूँजीं गलियाँ गाँव की
सुब्ह सवेरे नंगे पाँव घास पे चलना ऐसा है
जैसे बाप का पहला बोसा क़ुर्बत जैसे माओं की
इक जैसा एहसास लहू में जीता जागता रहता है
एक उदासी दे जाती है दस्तक रोज़ हवाओं की
सीनों और ज़मीनों का अब मंज़र-नामा बदलेगा
हर सू कसरत हो जानी है फूलों और दुआओं की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hammad Niyazi
our suggestion based on Hammad Niyazi
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari