khul kar ro na sakega jo marna uska mumkin hai
khair karo tum ro sakte ho to hansna mumkin hai
jin logon ke pairo'n ko chhaalon ne nigal liya hai
khush-fahmi mein the ki khuda ka to hona mumkin hai
ham jaise log ab kahaan jaayen kya karein kalaa ka
ki khud-fareebi kar ke bhi aab-o-daana mumkin hai
beech safar mein atka main jab aaya mujhe samajh tab
ki humsafar ho agar to har ek raasta mumkin hai
kuchh is tarah nibhaaya main ne apna ik taraf ishq
usne maanga jo kuchh bhi main ne bola mumkin hai
meri baaton ke oopar se chal kar guzar gaya vo
main cheekhta raha o o bewafa wafa mumkin hai
harshit main ab bhi is ke malbe mein daba hua hoon
tu to kehta tha rasq se nikal paana mumkin hai
खुल कर रो न सकेगा जो मरना उसका मुमकिन है
ख़ैर करो तुम रो सकते हो तो हँसना मुमकिन है
जिन लोगों के पैरों को छालों ने निगल लिया है
ख़ुश-फ़हमी में थे कि ख़ुदा का तो होना मुमकिन है
हम जैसे लोग अब कहाँ जाएँ क्या करें कला का
कि ख़ुद-फ़रेबी कर के भी आब-ओ-दाना मुमकिन है
बीच सफ़र में अटका मैं जब आया मुझे समझ तब
कि हमसफ़र हो अगर तो हर एक रास्ता मुमकिन है
कुछ इस तरह निभाया मैं ने अपना इक तरफ़ा इश्क़
उसने माँगा जो कुछ भी मैं ने बोला मुमकिन है
मेरी बातों के ऊपर से चल कर गुज़र गया वो
मैं चीख़ता रहा ओ ओ बेवफ़ा वफ़ा मुमकिन है
'हर्षित' मैं अब भी इस के मलबे में दबा हुआ हूँ
तू तो कहता था रश्क़ से निकल पाना मुमकिन है
As you were reading Shayari by harshit karnatak
our suggestion based on harshit karnatak
As you were reading undefined Shayari