uske man ke bheetar kya kya nahin hua
vo phool jo kisi titli ka nahin hua
ishq mein bantta nahin barabar se kuchh bhi
main zaaya ho gaya vo tanhaa nahin hua
usne to teesri mohabbat bhi kar li
mujhse ghar ke baahar jaana nahin hua
toot gaya tha andar tak par kuchh na kaha
vo khush thi baat ka tamasha nahin hua
mera naam badal kar bala rakha jaaye
mere saath kisi ka achha nahin hua
malee gai thi kaalikh kuchh is tarah ki phir
andar tak mein kabhi ujaala nahin hua
itr laga kar aayi thi khudkushi magar
main us khushboo ka deewaana nahin hua
mere girne par hansne waale logon
mere marne par kuchh huu ha nahin hua
उसके मन के भीतर क्या क्या नहीं हुआ
वो फूल जो किसी तितली का नहीं हुआ
इश्क़ में बँटता नहीं बराबर से कुछ भी
मैं ज़ाया हो गया वो तन्हा नहीं हुआ
उसने तो तीसरी मोहब्बत भी कर ली
मुझसे घर के बाहर जाना नहीं हुआ
टूट गया था अंदर तक पर कुछ न कहा
वो ख़ुश थी बात का तमाशा नहीं हुआ
मेरा नाम बदल कर बला रखा जाए
मेरे साथ किसी का अच्छा नहीं हुआ
मली गई थी कालिख कुछ इस तरह कि फिर
अंदर तक में कभी उजाला नहीं हुआ
इत्र लगा कर आई थी ख़ुदकुशी मगर
मैं उस ख़ुशबू का दीवाना नहीं हुआ
मेरे गिरने पर हँसने वाले लोगों
मेरे मरने पर कुछ हू हा नहीं हुआ
As you were reading Shayari by harshit karnatak
our suggestion based on harshit karnatak
As you were reading undefined Shayari