khoo samajh mein nahin aati tire deewaanon ki
daamanoń ki na khabar hai na girebaanoń ki
jalwa-e-saaghar-o-meena hai jo hamrang-e-bahaar
raunqen turfah tarqqi pe hain may-khaanon ki
har taraf be-khudi o be-khabri ki hai numood
qaabil-e-deed hai duniya tire hairaanon ki
sahal is se to yahi hai ki sambhalen dil ko
minnaten kaun kare aap ke darbaanon ki
aankh waale tiri soorat pe mite jaate hain
sham-e-mahfil ki taraf bheed hai parvaanon ki
ai jafaakaar tire ahad se pehle to na thi
kasrat is darja mohabbat ke pasheemaanoń ki
raaz-e-gham se hamein aagaah kiya khoob kiya
kuchh nihaayat hi nahin aap ke ehsaanon ki
dushman-e-ahl-e-muravvat hai vo begaana-e-uns
shakl pariyon ki hai khoo bhi nahin insaano ki
hamrah-e-ghair mubarak unhen gul-gasht-e-chaman
sair ham ko bhi mayassar hai biyaabaanon ki
ik bakheda hai nazar mein sar-o-saamaan-e-wujood
ab ye haalat hai tire sokhta-saamaanoń ki
faiz-e-saaqi ki ajab dhoom hai may-khaanon mein
har taraf may ki talab maang hai paimaanon ki
aashiqon hi ka jigar hai ki hain khursand-e-jafa
kaafiron ki hai ye himmat na musalmaano ki
yaad phir taaza hui haal se tere hasrat
qais o farhaad ke guzre hue afsaano ki
ख़ू समझ में नहीं आती तिरे दीवानों की
दामनों की न ख़बर है न गिरेबानों की
जल्वा-ए-साग़र-ओ-मीना है जो हमरंग-ए-बहार
रौनक़ें तुर्फ़ा तरक़्क़ी पे हैं मय-ख़ानों की
हर तरफ़ बे-ख़ुदी ओ बे-ख़बरी की है नुमूद
क़ाबिल-ए-दीद है दुनिया तिरे हैरानों की
सहल इस से तो यही है कि सँभालें दिल को
मिन्नतें कौन करे आप के दरबानों की
आँख वाले तिरी सूरत पे मिटे जाते हैं
शम-ए-महफ़िल की तरफ़ भीड़ है परवानों की
ऐ जफ़ाकार तिरे अहद से पहले तो न थी
कसरत इस दर्जा मोहब्बत के पशीमानों की
राज़-ए-ग़म से हमें आगाह किया ख़ूब किया
कुछ निहायत ही नहीं आप के एहसानों की
दुश्मन-ए-अहल-ए-मुरव्वत है वो बेगाना-ए-उन्स
शक्ल परियों की है ख़ू भी नहीं इंसानों की
हमरह-ए-ग़ैर मुबारक उन्हें गुल-गश्त-ए-चमन
सैर हम को भी मयस्सर है बयाबानों की
इक बखेड़ा है नज़र में सर-ओ-सामान-ए-वजूद
अब ये हालत है तिरे सोख़्ता-सामानों की
फ़ैज़-ए-साक़ी की अजब धूम है मय-ख़ानों में
हर तरफ़ मय की तलब माँग है पैमानों की
आशिक़ों ही का जिगर है कि हैं ख़ुरसन्द-ए-जफ़ा
काफ़िरों की है ये हिम्मत न मुसलमानों की
याद फिर ताज़ा हुई हाल से तेरे 'हसरत'
क़ैस ओ फ़रहाद के गुज़रे हुए अफ़्सानों की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hasrat Mohani
our suggestion based on Hasrat Mohani
As you were reading Hausla Shayari Shayari