aur to paas mere hijr mein kya rakha hai
ik tire dard ko pahluu mein chhupa rakha hai
dil se arbaab-e-wafaa ka hai bhulaana mushkil
ham ne ye un ke taghaaful ko suna rakha hai
tum ne baal apne jo phoolon mein basa rakhe hain
shauq ko aur bhi deewaana bana rakha hai
sakht bedard hai taaseer-e-mohabbat ki unhen
bistar-e-naaz pe sote se jaga rakha hai
aah vo yaad ki us yaad ko ho kar majboor
dil-e-maayus ne muddat se bhula rakha hai
kya taammul hai mere qatl mein ai baazoo-e-yaar
ek hi vaar mein sar tan se juda rakha hai
husn ko jor se begaana na samjho ki use
ye sabq ishq ne pehle hi padha rakha hai
teri nisbat se sitamgar tire maayuson ne
daagh-e-hirmaan ko bhi seene se laga rakha hai
kahte hain ahl-e-jahaan dard-e-mohabbat jis ko
naam usi ka dil-e-muztar ne dava rakha hai
nigah-e-yaar se paikaan-e-qaza ka mushtaaq
dil-e-majboor nishaane pe khula rakha hai
is ka anjaam bhi kuchh soch liya hai hasrat
tu ne rabt un se jo is darja badha rakha hai
और तो पास मिरे हिज्र में क्या रक्खा है
इक तिरे दर्द को पहलू में छुपा रक्खा है
दिल से अरबाब-ए-वफ़ा का है भुलाना मुश्किल
हम ने ये उन के तग़ाफ़ुल को सुना रक्खा है
तुम ने बाल अपने जो फूलों में बसा रक्खे हैं
शौक़ को और भी दीवाना बना रक्खा है
सख़्त बेदर्द है तासीर-ए-मोहब्बत कि उन्हें
बिस्तर-ए-नाज़ पे सोते से जगा रक्खा है
आह वो याद कि उस याद को हो कर मजबूर
दिल-ए-मायूस ने मुद्दत से भुला रक्खा है
क्या तअम्मुल है मिरे क़त्ल में ऐ बाज़ू-ए-यार
एक ही वार में सर तन से जुदा रक्खा है
हुस्न को जौर से बेगाना न समझो कि उसे
ये सबक़ इश्क़ ने पहले ही पढ़ा रक्खा है
तेरी निस्बत से सितमगर तिरे मायूसों ने
दाग़-ए-हिर्मां को भी सीने से लगा रक्खा है
कहते हैं अहल-ए-जहाँ दर्द-ए-मोहब्बत जिस को
नाम उसी का दिल-ए-मुज़्तर ने दवा रक्खा है
निगह-ए-यार से पैकान-ए-क़ज़ा का मुश्ताक़
दिल-ए-मजबूर निशाने पे खुला रक्खा है
इस का अंजाम भी कुछ सोच लिया है 'हसरत'
तू ने रब्त उन से जो इस दर्जा बढ़ा रक्खा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hasrat Mohani
our suggestion based on Hasrat Mohani
As you were reading Love Shayari Shayari