har haal mein raha jo tira aasraa mujhe
mayus kar saka na hujoom-e-bala mujhe
har nagme ne unhin ki talab ka diya payaam
har saaz ne unhin ki sunaai sada mujhe
har baat mein unhin ki khushi ka raha khayal
har kaam se garz hai unhin ki raza mujhe
rehta hoon ghark un ke tasavvur mein roz o shab
masti ka pad gaya hai kuchh aisa maza mujhe
rakhiye na mujh pe tark-e-mohabbat ki tohmaten
jis ka khayal tak bhi nahin hai rawa mujhe
kya kahte ho ki aur laga lo kisi se dil
tum sa nazar bhi aaye koi doosra mujhe
begaana-e-adab kiye deti hai kya karoon
us mahw-e-naaz ki nigah-e-aashnaa mujhe
us be-nishaan ke milne ki hasrat hui ummeed
aab-e-baqa se badh ke hai zahar-e-fanaa mujhe
हर हाल में रहा जो तिरा आसरा मुझे
मायूस कर सका न हुजूम-ए-बला मुझे
हर नग़्मे ने उन्हीं की तलब का दिया पयाम
हर साज़ ने उन्हीं की सुनाई सदा मुझे
हर बात में उन्हीं की ख़ुशी का रहा ख़याल
हर काम से ग़रज़ है उन्हीं की रज़ा मुझे
रहता हूं ग़र्क़ उन के तसव्वुर में रोज़ ओ शब
मस्ती का पड़ गया है कुछ ऐसा मज़ा मुझे
रखिए न मुझ पे तर्क-ए-मोहब्बत की तोहमतें
जिस का ख़याल तक भी नहीं है रवा मुझे
क्या कहते हो कि और लगा लो किसी से दिल
तुम सा नज़र भी आए कोई दूसरा मुझे
बेगाना-ए-अदब किए देती है क्या करूं
उस महव-ए-नाज़ की निगह-ए-आशना मुझे
उस बे-निशां के मिलने की 'हसरत' हुई उम्मीद
आब-ए-बक़ा से बढ़ के है ज़हर-ए-फ़ना मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hasrat Mohani
our suggestion based on Hasrat Mohani
As you were reading Hasrat Shayari Shayari