dard-e-dil ki unhen khabar na hui
koi tadbeer kaargar na hui
koshishein ham ne keen hazaar magar
ishq mein ek mo'tabar na hui
kar chuke ham ko be-gunaah shaheed
aap ki aankh phir bhi tar na hui
na-rasa aah-e-aashiqaa'n vo kahaan
door un se jo be-asar na hui
aayi bujhne ko apni sham-e-hayaat
shab-e-gham ki magar sehar na hui
shab the ham garm-e-naala-ha-e-firaq
subh ik aah-e-sard sar na hai
tum se kyunkar vo chhup sake hasrat
nigah-e-shauq parda dar na hui
दर्द-ए-दिल की उन्हें ख़बर न हुई
कोई तदबीर कारगर न हुई
कोशिशें हम ने कीं हज़ार मगर
इश्क़ में एक मो'तबर न हुई
कर चुके हम को बे-गुनाह शहीद
आप की आँख फिर भी तर न हुई
ना-रसा आह-ए-आशिक़ाँ वो कहाँ
दूर उन से जो बे-असर न हुई
आई बुझने को अपनी शम-ए-हयात
शब-ए-ग़म की मगर सहर न हुई
शब थे हम गर्म-ए-नाला-हा-ए-फ़िराक़
सुब्ह इक आह-ए-सर्द सर न हई
तुम से क्यूँकर वो छुप सके 'हसरत'
निगह-ए-शौक़ पर्दा दर न हुई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hasrat Mohani
our suggestion based on Hasrat Mohani
As you were reading Ulfat Shayari Shayari