husn-e-be-parwa ko khud-been o khud-aara kar diya | हुस्न-ए-बे-परवा को ख़ुद-बीन ओ ख़ुद-आरा कर दिया

  - Hasrat Mohani

husn-e-be-parwa ko khud-been o khud-aara kar diya
kya kiya main ne ki izhaar-e-tamannaa kar diya

badh gaeein tum se to mil kar aur bhi betaabiyaan
ham ye samjhe the ki ab dil ko shakeba kar diya

padh ke tera khat mere dil ki ajab haalat hui
iztiraab-e-shauq ne ik hashr barpa kar diya

ham rahe yaa tak tiri khidmat mein sargarm-e-niyaaz
tujh ko aakhir aashnaa-e-naaz-e-beja kar diya

ab nahin dil ko kisi soorat kisi pahluu qaraar
us nigaah-e-naaz ne kya seher aisa kar diya

ishq se tere badhe kya kya dilon ke martabe
mehr zarroon ko kiya qatron ko dariya kar diya

kyun na ho teri mohabbat se munavvar jaan o dil
sham'a jab raushan hui ghar mein ujaala kar diya

teri mehfil se uthaata gair mujh ko kya majaal
dekhta tha main ki tu ne bhi ishaara kar diya

sab galat kahte the lutf-e-yaar ko wajh-e-sukoon
dard-e-dil us ne to hasrat aur doonaa kar diya

हुस्न-ए-बे-परवा को ख़ुद-बीन ओ ख़ुद-आरा कर दिया
क्या किया मैं ने कि इज़हार-ए-तमन्ना कर दिया

बढ़ गईं तुम से तो मिल कर और भी बेताबियाँ
हम ये समझे थे कि अब दिल को शकेबा कर दिया

पढ़ के तेरा ख़त मिरे दिल की अजब हालत हुई
इज़्तिराब-ए-शौक़ ने इक हश्र बरपा कर दिया

हम रहे याँ तक तिरी ख़िदमत में सरगर्म-ए-नियाज़
तुझ को आख़िर आश्ना-ए-नाज़-ए-बेजा कर दिया

अब नहीं दिल को किसी सूरत किसी पहलू क़रार
उस निगाह-ए-नाज़ ने क्या सेहर ऐसा कर दिया

इश्क़ से तेरे बढ़े क्या क्या दिलों के मर्तबे
मेहर ज़र्रों को किया क़तरों को दरिया कर दिया

क्यूँ न हो तेरी मोहब्बत से मुनव्वर जान ओ दिल
शम्अ जब रौशन हुई घर में उजाला कर दिया

तेरी महफ़िल से उठाता ग़ैर मुझ को क्या मजाल
देखता था मैं कि तू ने भी इशारा कर दिया

सब ग़लत कहते थे लुत्फ़-ए-यार को वजह-ए-सुकूँ
दर्द-ए-दिल उस ने तो 'हसरत' और दूना कर दिया

  - Hasrat Mohani

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari