tire dard se jis ko nisbat nahin hai | तिरे दर्द से जिस को निस्बत नहीं है - Hasrat Mohani

tire dard se jis ko nisbat nahin hai
vo raahat museebat hai raahat nahin hai

junoon-e-mohabbat ka deewaana hoon main
mere sar mein sauda-e-hikmat nahin hai

tire gham ki duniya mein ai jaan-e-aalam
koi rooh mahroom-e-raahat nahin hai

mujhe garam-e-nazzara dekha to hans kar
vo bole ki is ki ijaazat nahin hai

jhuki hai tire baar-e-irfaan se gardan
humein sar uthaane ki furqat nahin hai

ye hai un ke ik roo-e-rangeen ka partav
bahaar-e-tilism-e-lataafat nahin hai

tire sarfaroshon mein hai kaun aisa
jise dil se shauq-e-shahaadat nahin hai

taghaaful ka shikwa karoon un se kyunkar
vo kah denge tu be-muravvat nahin hai

vo kahte hain shokhi se hum dilruba hain
humein dil nawaazi ki aadat nahin hai

shaheedaan-e-gham hain subuk rooh kya kya
ki us dil pe baar-e-nadaamat nahin hai

namoona hai takmeel-e-husn-e-sukhan ka
guhar baari-e-taba-e-hasrat nahin hai

तिरे दर्द से जिस को निस्बत नहीं है
वो राहत मुसीबत है राहत नहीं है

जुनून-ए-मोहब्बत का दीवाना हूँ मैं
मिरे सर में सौदा-ए-हिकमत नहीं है

तिरे ग़म की दुनिया में ऐ जान-ए-आलम
कोई रूह महरूम-ए-राहत नहीं है

मुझे गरम-ए-नज़्ज़ारा देखा तो हँस कर
वो बोले कि इस की इजाज़त नहीं है

झुकी है तिरे बार-ए-इरफ़ाँ से गर्दन
हमें सर उठाने की फ़ुर्सत नहीं है

ये है उन के इक रू-ए-रंगीं का परतव
बहार-ए-तिलिस्म-ए-लताफ़त नहीं है

तिरे सरफ़रोशों में है कौन ऐसा
जिसे दिल से शौक़-ए-शहादत नहीं है

तग़ाफ़ुल का शिकवा करूँ उन से क्यूँकर
वो कह देंगे तू बे-मुरव्वत नहीं है

वो कहते हैं शोख़ी से हम दिलरुबा हैं
हमें दिल नवाज़ी की आदत नहीं है

शहीदान-ए-ग़म हैं सुबुक रूह क्या क्या
कि उस दिल पे बार-ए-नदामत नहीं है

नमूना है तक्मील-ए-हुस्न-ए-सुख़न का
गुहर बारी-ए-तबा-ए-हसरत नहीं है

- Hasrat Mohani
3 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari