us but ke pujaari hain musalmaan hazaaron | उस बुत के पुजारी हैं मुसलमान हज़ारों

  - Hasrat Mohani

us but ke pujaari hain musalmaan hazaaron
bigde hain isee kufr mein eimaan hazaaron

duniya hai ki un ke rukh o gesu pe mitti hai
hairaan hazaaron hain pareshaan hazaaron

tanhaai mein bhi tere tasavvur ki badaulat
dil-bastagi-e-gham ke hain samaan hazaaron

ai shauq tiri pasti-e-himmat ka bura ho
mushkil hue jo kaam the aasaan hazaaron

aankhon ne tujhe dekh liya ab unhen kya gham
haalaanki abhi dil ko hain armaan hazaaron

chhaane hain tire ishq mein aashuftaa-sari ne
duniya-e-musibat ke bayaabaan hazaaron

ik baar tha sar gardan-e-hasrat pe rahenge
qaateel tiri shamsheer ke ehsaan hazaaron

उस बुत के पुजारी हैं मुसलमान हज़ारों
बिगड़े हैं इसी कुफ़्र में ईमान हज़ारों

दुनिया है कि उन के रुख़ ओ गेसू पे मिटी है
हैरान हज़ारों हैं परेशान हज़ारों

तन्हाई में भी तेरे तसव्वुर की बदौलत
दिल-बस्तगी-ए-ग़म के हैं सामान हज़ारों

ऐ शौक़ तिरी पस्ती-ए-हिम्मत का बुरा हो
मुश्किल हुए जो काम थे आसान हज़ारों

आँखों ने तुझे देख लिया अब उन्हें क्या ग़म
हालाँकि अभी दिल को हैं अरमान हज़ारों

छाने हैं तिरे इश्क़ में आशुफ़्ता-सरी ने
दुनिया-ए-मुसीबत के बयाबान हज़ारों

इक बार था सर गर्दन-ए-'हसरत' पे रहेंगे
क़ातिल तिरी शमशीर के एहसान हज़ारों

  - Hasrat Mohani

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari