apna sa shauq auron mein laayein kahaan se ham | अपना सा शौक़ औरों में लाएँ कहाँ से हम

  - Hasrat Mohani

apna sa shauq auron mein laayein kahaan se ham
ghabra gaye hain be-dili-e-hamrahaan se ham

kuchh aisi door bhi to nahin manzil-e-muraad
lekin ye jab ki chhoot chalen kaarwaan se ham

ai yaad-e-yaar dekh ki ba-wasf-e-ranj-e-hijr
masroor hain tiri khalish-e-na-tavaan se ham

maaloom sab hai poochte ho phir bhi muddaa
ab tum se dil ki baat kahein kya zabaan se ham

ai zohd-e-khushk teri hidaayat ke vaaste
saugaat-e-ishq laaye hain koo-e-butaan se ham

betaabiyon se chhup na saka haal-e-aarzoo
aakhir bache na us nigah-e-bad-guma se ham

peeraana-sar bhi shauq ki himmat buland hai
khwaahaan-e-kaam-e-jaan hain jo us naujavaan se ham

mayus bhi to karte nahin tum z-raah-e-naaz
tang aa gaye hain kashmakash-e-imtihaan se ham

khilwat banegi tere gham-e-jaan-navaaz ki
lenge ye kaam apne dil-e-shaadmaan se ham

hai intiha-e-yaas bhi ik ibtida-e-shauq
phir aa gaye wahin pe chale the jahaan se ham

hasrat phir aur ja ke karein kis ki bandagi
achha jo sar uthaaye bhi is aastaan se ham

अपना सा शौक़ औरों में लाएँ कहाँ से हम
घबरा गए हैं बे-दिली-ए-हमरहाँ से हम

कुछ ऐसी दूर भी तो नहीं मंज़िल-ए-मुराद
लेकिन ये जब कि छूट चलें कारवाँ से हम

ऐ याद-ए-यार देख कि बा-वस्फ़-ए-रंज-ए-हिज्र
मसरूर हैं तिरी ख़लिश-ए-ना-तवाँ से हम

मालूम सब है पूछते हो फिर भी मुद्दआ
अब तुम से दिल की बात कहें क्या ज़बाँ से हम

ऐ ज़ोहद-ए-ख़ुश्क तेरी हिदायत के वास्ते
सौग़ात-ए-इश्क़ लाए हैं कू-ए-बुताँ से हम

बेताबियों से छुप न सका हाल-ए-आरज़ू
आख़िर बचे न उस निगह-ए-बद-गुमा से हम

पीराना-सर भी शौक़ की हिम्मत बुलंद है
ख़्वाहान-ए-काम-ए-जाँ हैं जो उस नौजवाँ से हम

मायूस भी तो करते नहीं तुम ज़-राह-ए-नाज़
तंग आ गए हैं कशमकश-ए-इम्तिहाँ से हम

ख़ल्वत बनेगी तेरे ग़म-ए-जाँ-नवाज़ की
लेंगे ये काम अपने दिल-ए-शादमाँ से हम

है इंतिहा-ए-यास भी इक इब्तिदा-ए-शौक़
फिर आ गए वहीं पे चले थे जहाँ से हम

'हसरत' फिर और जा के करें किस की बंदगी
अच्छा जो सर उठाएँ भी इस आस्ताँ से हम

  - Hasrat Mohani

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari