chhup ke us ne jo khud-numaai ki
intiha thi ye dilrubaaai ki
maail-e-ghamza hai vo chashm-e-siyaah
ab nahin khair paarsaai ki
ham se kyunkar vo aastaana chhute
muddaton jis pe jabha-saai ki
dil ne barson b-justuju-e-kamaal
koocha-e-ishq mein gadaai ki
daam se un ke chhootna to kahaan
yaa havas bhi nahin rihaai ki
kya kiya ye ki ahl-e-shauq ke saath
tu ne ki bhi to bewafaai ki
ho ke naadim vo baithe hain khaamosh
sulh mein shaan hai ladai ki
us taghaful-shiaar se hasrat
ham mein taqat nahin judaai ki
छुप के उस ने जो ख़ुद-नुमाई की
इंतिहा थी ये दिलरुबाई की
माइल-ए-ग़म्ज़ा है वो चश्म-ए-सियाह
अब नहीं ख़ैर पारसाई की
हम से क्यूँकर वो आस्ताना छुटे
मुद्दतों जिस पे जब्हा-साई की
दिल ने बरसों ब-जुस्तुजू-ए-कमाल
कूचा-ए-इश्क़ में गदाई की
दाम से उन के छूटना तो कहाँ
याँ हवस भी नहीं रिहाई की
क्या किया ये कि अहल-ए-शौक़ के साथ
तू ने की भी तो बेवफ़ाई की
हो के नादिम वो बैठे हैं ख़ामोश
सुल्ह में शान है लड़ाई की
उस तग़ाफ़ुल-शिआर से 'हसरत'
हम में ताक़त नहीं जुदाई की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hasrat Mohani
our suggestion based on Hasrat Mohani
As you were reading Hausla Shayari Shayari