bekli se mujhe raahat hogi | बेकली से मुझे राहत होगी - Hasrat Mohani

bekli se mujhe raahat hogi
chhed den aap inaayat hogi

vasl mein un ke qadam choomenge
vo bhi gar un ki ijaazat hogi

be-qaraari ke maze lootenge
aaj phir dard ki shiddat hogi

ek din khol ke jee ro lenge
zabt-e-gham ki jo ijaazat hogi

qissa-e-gham na kahunga hasrat
jor ki un ke shikaayat hogi

बेकली से मुझे राहत होगी
छेड़ दें आप इनायत होगी

वस्ल में उन के क़दम चूमेंगे
वो भी गर उन की इजाज़त होगी

बे-क़रारी के मज़े लूटेंगे
आज फिर दर्द की शिद्दत होगी

एक दिन खोल के जी रो लेंगे
ज़ब्त-ए-ग़म की जो इजाज़त होगी

क़िस्सा-ए-ग़म न कहूँगा 'हसरत'
जौर की उन के शिकायत होगी

- Hasrat Mohani
0 Likes

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari