un ko rusva mujhe kharab na kar
ai dil itna bhi iztiraab na kar
aamad-e-yaar ki ummeed na chhod
dekh ai aankh mail-e-khwaab na kar
mil hi rahti hai may-parast ko may
fikr-e-naayaabi-e-sharaab na kar
naaseha ham karenge sharh-e-junoon
dil-e-deewaana se khitaab na kar
shauq yaaron ka be-shumaar nahin
sitam ai dost be-hisaab na kar
dil ko mast-e-khayaal-e-yaar bana
lab ko aalooda-e-sharaab na kar
rakh bahr-haal shughl-e-may hasrat
is mein parwa-e-sheikh-o-shaab na kar
उन को रुस्वा मुझे ख़राब न कर
ऐ दिल इतना भी इज़्तिराब न कर
आमद-ए-यार की उम्मीद न छोड़
देख ऐ आँख मैल-ए-ख़्वाब न कर
मिल ही रहती है मय-परस्त को मय
फ़िक्र-ए-नायाबी-ए-शराब न कर
नासेहा हम करेंगे शरह-ए-जुनूँ
दिल-ए-दीवाना से ख़िताब न कर
शौक़ यारों का बे-शुमार नहीं
सितम ऐ दोस्त बे-हिसाब न कर
दिल को मस्त-ए-ख़याल-ए-यार बना
लब को आलूदा-ए-शराब न कर
रख बहर-हाल शुग़्ल-ए-मय 'हसरत'
इस में परवा-ए-शेख़-ओ-शाब न कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hasrat Mohani
our suggestion based on Hasrat Mohani
As you were reading Dosti Shayari Shayari