kya vo ab naadim hain apne jor ki roodaad se | क्या वो अब नादिम हैं अपने जौर की रूदाद से

  - Hasrat Mohani

kya vo ab naadim hain apne jor ki roodaad se
laaye hain meerut jo aakhir mujh ko faizaabaad se

sair-e-gul ko aayi thi jis dam sawaari aap ki
phool utha tha chaman fakhr-e-mubaarakbaad se

har kas-o-na-kas ho kyunkar kaamgaar-e-be-khudi
ye hunar seekha hai dil ne ik bade ustaad se

ik jahaan mast-e-mohabbat hai ki har soo b-e-uns
chhaai hai un gesuon ki nikhat-e-barbaad se

ab talak maujood hai kuchh kuchh laga laaye the ham
vo jo ik lapka kabhi na khaak-e-jahaan aabaad se

daava-e-taqva ka hasrat kis ko aata hai yaqeen
aap aur jaate rahein peer-e-mugaan ki yaad se

क्या वो अब नादिम हैं अपने जौर की रूदाद से
लाए हैं मेरठ जो आख़िर मुझ को फ़ैज़ाबाद से

सैर-ए-गुल को आई थी जिस दम सवारी आप की
फूल उट्ठा था चमन फ़ख़्र-ए-मुबारकबाद से

हर कस-ओ-ना-कस हो क्यूँकर कामगार-ए-बे-ख़ुदी
ये हुनर सीखा है दिल ने इक बड़े उस्ताद से

इक जहाँ मस्त-ए-मोहब्बत है कि हर सू ब-ए-उन्स
छाई है उन गेसुओं की निकहत-ए-बर्बाद से

अब तलक मौजूद है कुछ कुछ लगा लाए थे हम
वो जो इक लपका कभी न ख़ाक-ए-जहाँ आबाद से

दावा-ए-तक़्वा का 'हसरत' किस को आता है यक़ीं
आप और जाते रहें पीर-ए-मुग़ाँ की याद से

  - Hasrat Mohani

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari