aur bhi ho gaye begaana vo ghaflat kar ke | और भी हो गए बेगाना वो ग़फ़लत कर के

  - Hasrat Mohani

aur bhi ho gaye begaana vo ghaflat kar ke
aazmaaya jo unhen zabt-e-mohabbat kar ke

dil ne chhodaa hai na chhode tire milne ka khayal
baar-ha dekh liya ham ne malaamat kar ke

dekhne aaye the vo apni mohabbat ka asar
kehne ko ye hai ki aaye hain ayaadat kar ke

pasti-e-hausla-e-shauq ki ab hai ye salaah
baith rahiye gham-e-hijraan pe qanaat kar ke

dil ne paaya hai mohabbat ka ye aali rutba
aap ke dard-e-dawaakaar ki khidmat kar ke

rooh ne paai hai takleef-e-judaai se najaat
aap ki yaad ko sarmaaya-e-raahat kar ke

chhed se ab vo ye kahte hain ki sambhalon hasrat
sabr o taab-e-dil-e-beemaar ko gharaat kar ke

और भी हो गए बेगाना वो ग़फ़लत कर के
आज़माया जो उन्हें ज़ब्त-ए-मोहब्बत कर के

दिल ने छोड़ा है न छोड़े तिरे मिलने का ख़याल
बार-हा देख लिया हम ने मलामत कर के

देखने आए थे वो अपनी मोहब्बत का असर
कहने को ये है कि आए हैं अयादत कर के

पस्ती-ए-हौसला-ए-शौक़ की अब है ये सलाह
बैठ रहिए ग़म-ए-हिज्राँ पे क़नाअत कर के

दिल ने पाया है मोहब्बत का ये आली रुत्बा
आप के दर्द-ए-दवाकार की ख़िदमत कर के

रूह ने पाई है तकलीफ़-ए-जुदाई से नजात
आप की याद को सरमाया-ए-राहत कर के

छेड़ से अब वो ये कहते हैं कि संभलों 'हसरत'
सब्र ओ ताब-ए-दिल-ए-बीमार को ग़ारत कर के

  - Hasrat Mohani

Sabr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Sabr Shayari Shayari