taaseer-e-bark-e-husn jo un ke sukhun mein thi
ik larzish-e-khafi mere saare badan mein thi
waan se nikal ke phir na faraaghat hui naseeb
aasoodagi ki jaan tiri anjuman mein thi
ik rang-e-iltifaat bhi us be-rukhi mein tha
ik saadgi bhi us nigah-e-sehr fan mein thi
muhtaaj-e-boo-e-itr na tha jism-e-khoob-e-yaar
khushboo-e-dilbari thi jo us pairhan mein thi
kuchh dil hi bujh gaya hai mera warna aaj kal
kaifiyat-e-bahaar ki shiddat chaman mein thi
maaloom ho gai mere dil ko raah-e-shauq
vo baat pyaar ki jo hunooz us dehan mein thi
gurbat ki subh mein bhi nahin hai vo raushni
jo raushni ki shaam-e-sawaad-e-watan mein thi
aish gudaaz-e-dil bhi gham-e-aashiqi mein tha
ik raahat-e-lateef bhi zimn-e-mahan mein thi
achha hua ki khaatir-e-hasrat se hat gai
haibat si ik jo khatra-e-daar-o-rasan mein thi
तासीर-ए-बर्क़-ए-हुस्न जो उन के सुख़न में थी
इक लर्ज़िश-ए-ख़फ़ी मिरे सारे बदन में थी
वाँ से निकल के फिर न फ़राग़त हुई नसीब
आसूदगी की जान तिरी अंजुमन में थी
इक रंग-ए-इल्तिफ़ात भी उस बे-रुख़ी में था
इक सादगी भी उस निगह-ए-सहर फ़न में थी
मोहताज-ए-बू-ए-इत्र न था जिस्म-ए-ख़ूब-ए-यार
ख़ुशबू-ए-दिलबरी थी जो उस पैरहन में थी
कुछ दिल ही बुझ गया है मिरा वर्ना आज कल
कैफ़ियत-ए-बहार की शिद्दत चमन में थी
मालूम हो गई मिरे दिल को राह-ए-शौक़
वो बात प्यार की जो हुनूज़ उस दहन में थी
ग़ुर्बत की सुब्ह में भी नहीं है वो रौशनी
जो रौशनी कि शाम-ए-सवाद-ए-वतन में थी
ऐश गुदाज़-ए-दिल भी ग़म-ए-आशिक़ी में था
इक राहत-ए-लतीफ़ भी ज़िम्न-ए-महन में थी
अच्छा हुआ कि ख़ातिर-ए-'हसरत' से हट गई
हैबत सी इक जो ख़तरा-ए-दार-ओ-रसन में थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hasrat Mohani
our suggestion based on Hasrat Mohani
As you were reading Ujaala Shayari Shayari