aasaan-e-haqeeqi hai na kuchh sahl-e-majaazi | आसान-ए-हक़ीकी है न कुछ सहल-ए-मजाज़ी

  - Hasrat Mohani

aasaan-e-haqeeqi hai na kuchh sahl-e-majaazi
maaloom hui raah-e-mohabbat ki daraazi

kuchh lutf o nazar laazim o malzoom nahin hain
ik ye bhi tamannaa ki na ho shobda baazi

dil khoob samajhta hai tire harf-e-karam ko
har-chand vo urdu hai na turki hai na taazi

qaaim hai na vo husn-e-rukh-e-yaar ka aalam
baaki hai na vo shauq ki hangaama-nawaazi

ai ishq tiri fateh bahr-haal hai saabit
mar kar bhi shaheedaan-e-mohabbat hue ghaazi

kar jald hamein khatm kahi ai gham-e-jaanaan
kaam aayegi kis roz tiri seena-gudaazi

maaloom hai duniya ko ye hasrat ki haqeeqat
khilwat mein vo may-khwaar hai jalvat mein namaazi

आसान-ए-हक़ीकी है न कुछ सहल-ए-मजाज़ी
मालूम हुई राह-ए-मोहब्बत की दराज़ी

कुछ लुत्फ़ ओ नज़र लाज़िम ओ मलज़ूम नहीं हैं
इक ये भी तमन्ना की न हो शोबदा बाज़ी

दिल ख़ूब समझता है तिरे हर्फ़-ए-करम को
हर-चंद वो उर्दू है न तुर्की है न ताज़ी

क़ाइम है न वो हुस्न-ए-रुख़-ए-यार का आलम
बाक़ी है न वो शौक़ की हंगामा-नवाज़ी

ऐ इश्क़ तिरी फ़तह बहर-हाल है साबित
मर कर भी शहीदान-ए-मोहब्बत हुए ग़ाज़ी

कर जल्द हमें ख़त्म कहीं ऐ ग़म-ए-जानाँ
काम आएगी किस रोज़ तिरी सीना-गुदाज़ी

मालूम है दुनिया को ये 'हसरत' की हक़ीक़त
ख़ल्वत में वो मय-ख़्वार है जल्वत में नमाज़ी

  - Hasrat Mohani

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari