ham ne kis din tire kooche mein guzaara na kiya
tu ne ai shokh magar kaam hamaara na kiya
ek hi baar hui wajh-e-giraftaari-e-dil
iltifaat un ki nigaahon ne dobara na kiya
mahfil-e-yaar ki rah jaayegi aadhi raunaq
naaz ko us ne agar anjuman-aara na kiya
taan-e-ahbaab sune sarzanish-e-khalq sahi
ham ne kya kya tiri khaatir se gawara na kiya
jab diya tum ne raqeebon ko diya jaam-e-sharaab
bhool kar bhi meri jaanib ko ishaara na kiya
roo-b-roo chashm-e-tasavvur ke vo har waqt rahe
na sahi aankh ne gar un ka nazaara na kiya
gar yahi hai sitam-e-yaar to ham ne hasrat
na kiya kuchh bhi jo duniya se kinaara na kiya
हम ने किस दिन तिरे कूचे में गुज़ारा न किया
तू ने ऐ शोख़ मगर काम हमारा न किया
एक ही बार हुईं वजह-ए-गिरफ़्तारी-ए-दिल
इल्तिफ़ात उन की निगाहों ने दोबारा न किया
महफ़िल-ए-यार की रह जाएगी आधी रौनक़
नाज़ को उस ने अगर अंजुमन-आरा न किया
तान-ए-अहबाब सुने सरज़निश-ए-ख़ल्क़ सही
हम ने क्या क्या तिरी ख़ातिर से गवारा न किया
जब दिया तुम ने रक़ीबों को दिया जाम-ए-शराब
भूल कर भी मिरी जानिब को इशारा न किया
रू-ब-रू चश्म-ए-तसव्वुर के वो हर वक़्त रहे
न सही आँख ने गर उन का नज़ारा न किया
गर यही है सितम-ए-यार तो हम ने 'हसरत'
न किया कुछ भी जो दुनिया से किनारा न किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hasrat Mohani
our suggestion based on Hasrat Mohani
As you were reading Nigaah Shayari Shayari