chaahat meri chaahat hi nahin aap ke nazdeek
kuchh meri haqeeqat hi nahin aap ke nazdeek
kuchh qadr to karte mere izhaar wafa ki
shaayad ye mohabbat hi nahin aap ke nazdeek
yun gair se bebaak ishaare sar-e-mahfil
kya ye meri zillat hi nahin aap ke nazdeek
ushshaq pe kuchh had bhi mukarrar hai sitam ki
ya us ki nihaayat hi nahin aap ke nazdeek
agli si na raatein hain na ghaaten hain na baatein
kya ab main vo hasrat hi nahin aap ke nazdeek
चाहत मिरी चाहत ही नहीं आप के नज़दीक
कुछ मेरी हक़ीक़त ही नहीं आप के नज़दीक
कुछ क़द्र तो करते मिरे इज़हार वफ़ा की
शायद ये मोहब्बत ही नहीं आप के नज़दीक
यूँ ग़ैर से बेबाक इशारे सर-ए-महफ़िल
क्या ये मिरी ज़िल्लत ही नहीं आप के नज़दीक
उश्शाक़ पे कुछ हद भी मुक़र्रर है सितम की
या उस की निहायत ही नहीं आप के नज़दीक
अगली सी न रातें हैं न घातें हैं न बातें
क्या अब मैं वो 'हसरत' ही नहीं आप के नज़दीक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hasrat Mohani
our suggestion based on Hasrat Mohani
As you were reading Hasrat Shayari Shayari