hamein waqf-e-gham sar-b-sar dekh lete | हमें वक़्फ़-ए-ग़म सर-ब-सर देख लेते

  - Hasrat Mohani

hamein waqf-e-gham sar-b-sar dekh lete
vo tum kuchh na karte magar dekh lete

na karte kabhi khwaahish-e-sair-e-jannat
jo waiz tira raahguzaar dekh lete

rasai kahaan bazm-e-dushman mein apni
ki ham bhi unhen ik nazar dekh lete

tamannaa ko phir kuchh shikaayat na rahti
jo tum bhool kar bhi idhar dekh lete

na rahti khabar deen o duniya ki hasrat
jo sote unhen be-khabar dekh lete

हमें वक़्फ़-ए-ग़म सर-ब-सर देख लेते
वो तुम कुछ न करते मगर देख लेते

न करते कभी ख़्वाहिश-ए-सैर-ए-जन्नत
जो वाइज़ तिरा रहगुज़र देख लेते

रसाई कहाँ बज़्म-ए-दुश्मन में अपनी
कि हम भी उन्हें इक नज़र देख लेते

तमन्ना को फिर कुछ शिकायत न रहती
जो तुम भूल कर भी इधर देख लेते

न रहती ख़बर दीन ओ दुनिया की 'हसरत'
जो सोते उन्हें बे-ख़बर देख लेते

  - Hasrat Mohani

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari