bhulaata laakh hoon lekin barabar yaad aate hain | भुलाता लाख हूँ लेकिन बराबर याद आते हैं

  - Hasrat Mohani

bhulaata laakh hoon lekin barabar yaad aate hain
ilaahi tark-e-ulft par vo kyunkar yaad aate hain

na chhed ai hum-nasheen kaifiyat-e-sahba ke afsaane
sharaab-e-be-khudi ke mujh ko saaghar yaad aate hain

raha karte hain qaid-e-hosh mein ai waaye-naakaami
vo dast-e-khud-faramoshi ke chakkar yaad aate hain

nahin aati to yaad un ki maheenon tak nahin aati
magar jab yaad aate hain to akshar yaad aate hain

haqeeqat khul gai hasrat tire tark-e-mohabbat ki
tujhe to ab vo pehle se bhi badh kar yaad aate hain

भुलाता लाख हूँ लेकिन बराबर याद आते हैं
इलाही तर्क-ए-उल्फ़त पर वो क्यूँकर याद आते हैं

न छेड़ ऐ हम-नशीं कैफ़ियत-ए-सहबा के अफ़्साने
शराब-ए-बे-ख़ुदी के मुझ को साग़र याद आते हैं

रहा करते हैं क़ैद-ए-होश में ऐ वाए-नाकामी
वो दश्त-ए-ख़ुद-फ़रामोशी के चक्कर याद आते हैं

नहीं आती तो याद उन की महीनों तक नहीं आती
मगर जब याद आते हैं तो अक्सर याद आते हैं

हक़ीक़त खुल गई 'हसरत' तिरे तर्क-ए-मोहब्बत की
तुझे तो अब वो पहले से भी बढ़ कर याद आते हैं

  - Hasrat Mohani

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari