nigah-e-yaar jise aashnaa-e-raaz kare | निगाह-ए-यार जिसे आश्ना-ए-राज़ करे

  - Hasrat Mohani

nigah-e-yaar jise aashnaa-e-raaz kare
vo apni khoobi-e-qismat pe kyun na naaz kare

dilon ko fikr-e-do-aalam se kar diya azaad
tire junoon ka khuda silsila daraaz kare

khird ka naam junoon pad gaya junoon ka khird
jo chahe aap ka husn-e-karishma-saaz kare

tire sitam se main khush hoon ki ghaliban yun bhi
mujhe vo shaamil-e-arbaab-e-imtiyaaz kare

gham-e-jahaan se jise ho faraagh ki khwaahish
vo un ke dard-e-mohabbat se saaz-baaz kare

ummeed-waar hain har samt aashiqon ke giroh
tiri nigaah ko allah dil-nawaz kare

tire karam ka saza-waar to nahin hasrat
ab aage teri khushi hai jo sarfaraz kare

निगाह-ए-यार जिसे आश्ना-ए-राज़ करे
वो अपनी ख़ूबी-ए-क़िस्मत पे क्यूँ न नाज़ करे

दिलों को फ़िक्र-ए-दो-आलम से कर दिया आज़ाद
तिरे जुनूँ का ख़ुदा सिलसिला दराज़ करे

ख़िरद का नाम जुनूँ पड़ गया जुनूँ का ख़िरद
जो चाहे आप का हुस्न-ए-करिश्मा-साज़ करे

तिरे सितम से मैं ख़ुश हूँ कि ग़ालिबन यूँ भी
मुझे वो शामिल-ए-अरबाब-ए-इम्तियाज़ करे

ग़म-ए-जहाँ से जिसे हो फ़राग़ की ख़्वाहिश
वो उन के दर्द-ए-मोहब्बत से साज़-बाज़ करे

उम्मीद-वार हैं हर सम्त आशिक़ों के गिरोह
तिरी निगाह को अल्लाह दिल-नवाज़ करे

तिरे करम का सज़ा-वार तो नहीं 'हसरत'
अब आगे तेरी ख़ुशी है जो सरफ़राज़ करे

  - Hasrat Mohani

Ishaara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Ishaara Shayari Shayari