siyahkaar the ba-safa ho gaye ham | सियहकार थे बा-सफ़ा हो गए हम

  - Hasrat Mohani

siyahkaar the ba-safa ho gaye ham
tire ishq mein kya se kya ho gaye ham

na jaana ki shauq aur bhadkega mera
vo samjhe ki us se juda ho gaye ham

dam-e-waapsi aaye pursish ko naahak
bas ab jaao tum se khafa ho gaye ham

hue mahv kis ki tamannaa mein aise
ki mushtaghani-e-ma-siwa ho gaye ham

unhen ranj ab kyun hua ham to khush hain
ki mar kar shaheed-e-wafa ho gaye ham

jab un se adab ne na kuchh munh se maanga
to ik paikar-e-iltija ho gaye ham

tiri fikr ka mubtila ho gaya dil
magar qaid-e-gham se rihaa ho gaye ham

fana ho ke raah-e-mohabbat mein hasrat
saza-waar-e-khuld-e-baqa ho gaye ham

सियहकार थे बा-सफ़ा हो गए हम
तिरे इश्क़ में क्या से क्या हो गए हम

न जाना कि शौक़ और भड़केगा मेरा
वो समझे कि उस से जुदा हो गए हम

दम-ए-वापसीं आए पुर्सिश को नाहक़
बस अब जाओ तुम से ख़फ़ा हो गए हम

हुए मह्व किस की तमन्ना में ऐसे
कि मुस्तग़नी-ए-मा-सिवा हो गए हम

उन्हें रंज अब क्यूँ हुआ हम तो ख़ुश हैं
कि मर कर शहीद-ए-वफ़ा हो गए हम

जब उन से अदब ने न कुछ मुँह से माँगा
तो इक पैकर-ए-इल्तिजा हो गए हम

तिरी फ़िक्र का मुब्तिला हो गया दिल
मगर क़ैद-ए-ग़म से रिहा हो गए हम

फ़ना हो के राह-ए-मोहब्बत में 'हसरत'
सज़ा-वार-ए-ख़ुल्द-ए-बक़ा हो गए हम

  - Hasrat Mohani

Greed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Greed Shayari Shayari