nazar teeka unko lagana padega
unhen is jahaan se chhupaana padega
tabeeyat na naasaaz ho jaaye unki
duaon mein sar ko jhukaana padega
yaqeen dekhkar to nahi ho raha hai
mujhe unko chhukar hi aana padega
bulane se ghar to nahin aane waali
unhen khwaab mein hi bulaana padega
mera dil unhonne churaaya hai paagal
mujhe bhi kuchh unka churaana padega
likha som ne ek ladki ki khaatir
ye mummy se mujhko bataana padega
नज़र टीका उनको लगाना पड़ेगा
उन्हें इस जहाँ से छुपाना पड़ेगा
तबीअत न नासाज़ हो जाए उनकी,
दुआओं में सर को झुकाना पड़ेगा
यक़ीं देखकर तो नही हो रहा है,
मुझे उनको छूकर ही आना पड़ेगा
बुलाने से घर तो नहीं आने वाली,
उन्हें ख़्वाब में ही बुलाना पड़ेगा
मेरा दिल उन्होंने चुराया है पागल
मुझे भी कुछ उनका चुराना पड़ेगा
लिखा "सोम" ने एक लड़की की ख़ातिर
ये मम्मी से मुझको बताना पड़ेगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Himanshu Upadhyay Som
our suggestion based on Himanshu Upadhyay Som
As you were reading Ghar Shayari Shayari