gar nahin aaj aaya to kal aayega
mere hisse bhi mehnat ka fal aayega
aaj hoon jhopdi mein magar ek din
mere hisse bhi yaaro mahal aayega
raaz apne kisi ko bataana nahin
vo kahin aur jaakar ugal aayega
yaad kar loon agar be-wafaai tiri
khoon aankhon se meri nikal aayega
raat kitni bhi kaali ho saagar tiri
kar zara sabr suraj nikal aayega
गर नहीं आज आया तो कल आएगा
मेरे हिस्से भी मेहनत का फल आएगा
आज हूँ झोपड़ी में मगर एक दिन
मेरे हिस्से भी यारो महल आएगा
राज़ अपने किसी को बताना नहीं
वो कहीं और जाकर उगल आएगा
याद कर लूँ अगर बे-वफ़ाई तिरी
ख़ून आँखों से मेरी निकल आएगा
रात कितनी भी काली हो सागर तिरी
कर ज़रा सब्र सूरज निकल आएगा
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari