jisko muhabbat mein gham mila hai | जिसको मुहब्बत में ग़म मिला है

  - Saagar Singh Rajput

jisko muhabbat mein gham mila hai
vo raat din pankha dekhta hai

tu haath dhar de ho jaayega kam
jo dard mere dil mein utha hai

mil jaaye gar to hai chain warna
hai rog ulfat sabko pata hai

raah-e-wafa mein jo bhi hai nikla
pa jaaye manzil meri dua hai

hai be-wafaai fitrat mein jiski
usko hi sachcha aashiq mila hai

boodha jawaani mein ho gaya hoon
jurm-e-mohabbat kii ye saza hai

aashiq to paagal hote hain saare
main bhi hoon aashiq mujhko pata hai

sab log mujhko kahte hain achha
mere liye ye sach mein bura hai

usko hui hai shaayad muhabbat
vo raat bhar ab jagane laga hai

karte nahin ham aapas mein baatein
jhagda bhi apna bin baat ka hai

tujhse bichhad kar jaana hai maine
tujhko bhulaana mushkil bada hai

har dard sah loon hans ke mera main
mujhmein abhi itna hausla hai

jo be-wafaon ko maaf kar de
aashiq kahin kya aisa hua hai

saagar tumhaara jaldi marega
maashooq saagar ka bewafa hai

जिसको मुहब्बत में ग़म मिला है
वो रात दिन पंखा देखता है

तू हाथ धर दे हो जाएगा कम
जो दर्द मेरे दिल में उठा है

मिल जाए गर तो है चैन वर्ना
है रोग उल्फ़त सबको पता है

राह-ए-वफ़ा में जो भी है निकला
पा जाए मंज़िल मेरी दुआ है

है बे-वफ़ाई फ़ितरत में जिसकी
उसको ही सच्चा आशिक़ मिला है

बूढ़ा जवानी में हो गया हूँ
जुर्म-ए-मुहब्बत की ये सज़ा है

आशिक़ तो पागल होते हैं सारे
मैं भी हूँ आशिक़ मुझको पता है

सब लोग मुझको कहते हैं अच्छा
मेरे लिए ये सच में बुरा है

उसको हुई है शायद मुहब्बत
वो रात भर अब जगने लगा है

करते नहीं हम आपस में बातें
झगड़ा भी अपना बिन बात का है

तुझसे बिछड़ कर जाना है मैंने
तुझको भुलाना मुश्क़िल बड़ा है

हर दर्द सह लूँ हँस के मिरा मैं
मुझमें अभी इतना हौसला है

जो बे-वफ़ाओं को माफ़ कर दे
आशिक़ कहीं क्या ऐसा हुआ है

'सागर' तुम्हारा जल्दी मरेगा
माशूक़ 'सागर' का बेवफ़ा है

  - Saagar Singh Rajput

More by Saagar Singh Rajput

As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput

Similar Writers

our suggestion based on Saagar Singh Rajput

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari