dil jab bhi gham se bhar jaate hain
sab jeene waale mar jaate hain
main paagal hoon main aashiq bhi hoon
kya paagal aashiq ghar jaate hain
kahte rahte hain kehne waale
karne waale bas kar jaate hain
insaanon kii fitrat hai saagar
bas dukh mein rab ke dar jaate hain
दिल जब भी ग़म से भर जाते हैं
सब जीने वाले मर जाते हैं
मैं पागल हूँ मैं आशिक़ भी हूँ
क्या पागल आशिक़ घर जाते हैं
कहते रहते हैं कहने वाले
करने वाले बस कर जाते हैं
इंसानों की फ़ितरत है 'सागर'
बस दुख में रब के दर जाते हैं
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari