mujhko raisi dikhaane laga hai | मुझको रईसी दिखाने लगा है - Saagar Singh Rajput

mujhko raisi dikhaane laga hai
jo shakhs tukdon mein mere paala hai

ginata hai jo ab mujhe dushmanon mein
sabse bada dost mera raha hai

jo baith jaata hai kursi mein vo ab
khud ko khuda se bada maanta hai

mujh pe bharosa agar hai tujhe to
phir beech mein kis liye fasla hai

shri raam jee par hai vishwas jisko
vo phir bure waqt se kab dara hai

gham jeet paate nahin mere mujhse
matlab mere saath mera khuda hai

pyaari nahin hai agar jaan tujhko
phir kis liye zindagi se gila hai

noton kii gaddi mein baitha hai jo bhi
nazaron mein sab kii wahi devta hai

मुझको रईसी दिखाने लगा है
जो शख़्स टुकड़ों में मेरे पला है

गिनता है जो अब मुझे दुश्मनों में
सबसे बड़ा दोस्त मेरा रहा है

जो बैठ जाता है कुर्सी में वो अब
ख़ुद को ख़ुदा से बड़ा मानता है

मुझ पे भरोसा अगर है तुझे तो
फिर बीच में किस लिए फ़ासला है

श्री राम जी पर है विश्वास जिसको
वो फिर बुरे वक़्त से कब डरा है

ग़म जीत पाते नहीं मेरे मुझसे
मतलब मिरे साथ मेरा ख़ुदा है

प्यारी नहीं है अगर जान तुझको
फिर किस लिए ज़िंदगी से गिला है

नोटों की गड्डी में बैठा है जो भी
नज़रों में सब की वही देवता है

- Saagar Singh Rajput
0 Likes

More by Saagar Singh Rajput

As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput

Similar Writers

our suggestion based on Saagar Singh Rajput

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari