mujhe bhi pata hai tumhein bhi pata hai
zamaana hamesha se sach ka raha hai
magar is zamaane mein dekha hai maine
sukhi hai wahi jhooth jo bolta hai
kamaaya bahut hai yahan naam maine
kisi ko nahin gaav mein kuchh pata hai
mujhe shaayari ne diya naam lekin
kahaan naam se ghar kisi ka chala hai
wahi baat mat kah jo sab kah chuke hain
suna paas tere agar kuchh naya hai
muhabbat wafa bewafa ishq ulfat
tumhaari ghazal mein kahaan kuchh naya hai
mere sher sun ke vo kahti hai sab se
jo seekha hai mujhse wahi kah raha hai
mujhe bhi kabhi kaamyaabi milegi
isi aas ne mujhko zinda rakha hai
nahin dekhta ab muhabbat se koii
tumhaara hai saagar sabhi ko pata hai
मुझे भी पता है तुम्हें भी पता है
ज़माना हमेशा से सच का रहा है
मगर इस ज़माने में देखा है मैंने
सुखी है वही झूठ जो बोलता है
कमाया बहुत है यहाँ नाम मैंने
किसी को नहीं गाँव में कुछ पता है
मुझे शाइरी ने दिया नाम लेकिन
कहाँ नाम से घर किसी का चला है
वही बात मत कह जो सब कह चुके हैं
सुना पास तेरे अगर कुछ नया है
मुहब्बत वफ़ा बेवफ़ा इश्क़ उल्फ़त
तुम्हारी ग़ज़ल में कहाँ कुछ नया है
मिरे शेर सुन के वो कहती है सब से
जो सीखा है मुझसे वही कह रहा है
मुझे भी कभी कामयाबी मिलेगी
इसी आस ने मुझको ज़िंदा रखा है
नहीं देखता अब मुहब्बत से कोई
तुम्हारा है सागर सभी को पता है
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari