main hoon duniya ka sabse bhala aadmi
to mujhe tum na kehna bura aadmi
baat kitni bhi achhi batao ise
baat sunta nahin aaj ka aadmi
zindagi kuchh nahin moh maaya hai bas
jaan kar bhi nahin maanta aadmi
tum muhabbat se mujhko agar dekh lo
main bhi ban jaaunga ik bada aadmi
waqt mera zara sa bura kya hua
aankh mujhko dikhaane laga aadmi
waqt ka saath mujhko agar mil gaya
main bataaunga hota hai kya aadmi
haar raavan kii hamko sikhaati hai ye
dushmanon se nahin haarta aadmi
baat saagar kii sacchi hai sau feesdi
muflisi mein marega bhala aadmi
मैं हूँ दुनिया का सबसे भला आदमी
तो मुझे तुम न कहना बुरा आदमी
बात कितनी भी अच्छी बताओ इसे
बात सुनता नहीं आज का आदमी
ज़िंदगी कुछ नहीं मोह माया है बस
जान कर भी नहीं मानता आदमी
तुम मुहब्बत से मुझको अगर देख लो
मैं भी बन जाऊँगा इक बड़ा आदमी
वक़्त मेरा ज़रा सा बुरा क्या हुआ
आँख मुझको दिखाने लगा आदमी
वक़्त का साथ मुझको अगर मिल गया
मैं बताऊँगा होता है क्या आदमी
हार रावण की हमको सिखाती है ये
दुश्मनों से नहीं हारता आदमी
बात 'सागर' की सच्ची है सौ फ़ीसदी
मुफ़्लिसी में मरेगा भला आदमी
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari