wafadar ko to wafa chahiye
tujhe bewafa kya bata chahiye
main mar hi na jaaun kahin hijr mein
mujhe aap sab kii dua chahiye
kai din hue tujhko dekhe hue
meri aankh ko ab dava chahiye
mera hi muqaddar hai mujhse khafa
na jaane ise mujh se kya chahiye
kahin bujh na jaaye diya is liye
fazaa mein zara sii hawa chahiye
ye hai be-wafaon ke changul mein ab
muhabbat ko lekin wafa chahiye
वफ़ादार को तो वफ़ा चाहिए
तुझे बेवफ़ा क्या बता चाहिए
मैं मर ही न जाऊँ कहीं हिज्र में
मुझे आप सब की दुआ चाहिए
कई दिन हुए तुझको देखे हुए
मिरी आँख को अब दवा चाहिए
मिरा ही मुक़द्दर है मुझसे ख़फ़ा
न जाने इसे मुझ से क्या चाहिए
कहीं बुझ न जाए दिया इस लिए
फ़ज़ा में ज़रा सी हवा चाहिए
ये है बे-वफ़ाओं के चंगुल में अब
मुहब्बत को लेकिन वफ़ा चाहिए
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari