kyun karta hai wafa deewane | क्यूँ करता है वफ़ा दिवाने - Saagar Singh Rajput

kyun karta hai wafa deewane
marna hai kya bata deewane

sab ko apna samajh raha hai
mat kar aisi khata deewane

apne apne nahin rahe ab
ro mat sab ko bhula deewane

ab koii bhi sagā nahin hai
dil se sab ko hata deewane

sab ke man mein mera tira hai
tu bhi aadat bana deewane

ye duniya hai bahut buri to
ban ja tu bhi bura deewane

marna hi jab naseeb hai to
jam kar utsav manaa deewane

tal jaayega bura samay bhi
himmat se rah data deewane

meri chaahat agar buri hai
kya achha hai bata deewane

saagar kii ye likhi ghazal tu
har mehfil mein suna deewane

क्यूँ करता है वफ़ा दिवाने
मरना है क्या बता दिवाने

सब को अपना समझ रहा है
मत कर ऐसी ख़ता दिवाने

अपने अपने नहीं रहे अब
रो मत सब को भुला दिवाने

अब कोई भी सगा नहीं है
दिल से सब को हटा दिवाने

सब के मन में मिरा तिरा है
तू भी आदत बना दिवाने

ये दुनिया है बहुत बुरी तो
बन जा तू भी बुरा दिवाने

मरना ही जब नसीब है तो
जम कर उत्सव मना दिवाने

टल जाएगा बुरा समय भी
हिम्मत से रह डटा दिवाने

मेरी चाहत अगर बुरी है
क्या अच्छा है बता दिवाने

'सागर' की ये लिखी ग़ज़ल तू
हर महफ़िल में सुना दिवाने

- Saagar Singh Rajput
1 Like

More by Saagar Singh Rajput

As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput

Similar Writers

our suggestion based on Saagar Singh Rajput

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari